Reciter: Nasir Jahan
ghabraegi zainab ghabraegi zainab
bhaiya tumhein ghar jaa ke kahan paaegi zainab
kaisa ye bhara ghar hua barbaad elaahi
kya aayi tabahi
ab is ko na abaad, kabhi, paaegi zainab
ghabraegi zainab
ghar jaa ke kisay dekhegi qasim hai na abbas
akbar se bhi hai aas
apne ali asghar ko kahan, paaegi zainab
ghabraegi zainab
poochenge jo sab log ke baazu pe hua kya
ye neel hai kaisa
kis kis ko nishan rassi ke, dikhlaegi zainab
ghabraegi zainab
phat jaaega bas dekh ki hi ghar ko kaleja
yaad aaoge bhaiya
dil dhoondega tum ko to kahan, paaegi zainab
ghabraegi zainab
be parda hui qaid bhi khaahar ne uthaai
aur maut na aayi
kya jaane ye kya kya abhi, dukh paeegi zainab
ghabraegi zainab