Shahadat e Shahzada Ali Asghar Lyrics
Shahadat e Shahzada Ali Asghar
Shah jab lasha e pesheer ko hathoun pe liyay
Hayay maindan se khaimoun ki taraf janay lagay
rah main 7 kadam bharay peechay hathay
apne zanoun pe asghar ka janaza rakh ke
kaisay shabir ne dill apna sambhala hoga
teer jab gardan e asghar se nikala hoga
khainch kar teer phir ek bar sheh e deen chalay
lash uthayay hoyay jab khaimay ke dar par pohanchay
parda khaimay ka hatatay hoyay kuch dair rukay
jab yaad jab ayay sakina to yeh keh kar palte
ghum se maar jaigi jab samne ayay gi behan
bhai ka zakhmi gala daikh na payay gi behan
agayay lasha liyay khaimoun ke peechay shah e deen
bolay ashagr ki taraf daikh kar ayay mere hassen
kash ke hum bhi tere sath maar jatay waheen
hayay itna to tujhay teer ne bhi mara nhi
ran ne mara hai tuje garam hawa ne jitna
moo khola reh gaya piyasa tha na janay kitna
shidat e dhoop woh sehra ki tapish ki hogi chuban
jab talwar ke khod chukat shah zaman
roo kar kehne lagay pehle aba ka daman
kahan yeh jalti zameen or kahan nazuk sa badan
kabhi chuma kabhi seenay se lagaya lasha
baap ne kabr main rakh rakh kar uthaya lasha
ya Ali keh ke jo phir qabr main lasha rakha
maan na ajaiyay kai bar uth kar daikha
paoun ki simt tadfeen ka agahaz kiya
tan chupatay hoyay jab hath galay tak pohancha
bosa besheer ki gardan ka bari dair liya
khak main chehra chupatay hoyay moo pair liya
sir charhayay gayay jab naizoun pe ek sar na milla
khak main neza gharate hoyay zalm nikla
dhondhte dhondhte woh khamoun ke peechay pohancha
maar kar neeza jo khaincha to badan sath aya
ran main jab ume rabab aien to yeh manzar daikha
array apne bachay ka badan nook e sina par daikha
hayay zeeshan o raza zulm yahan bhi na ruka
jab tarapte hoyay pe beesher ki maa ko daikha
usne naizay se badan khainch kar miti par rakha
samne maa ke gala kat diya asghar ka
array laien janay ya maa janay ya janay asghar
neza us pe piroya tha ya neze main sir
neza us sar piroya tha ya neze main sir