Mere ghar Majlis e Hussain horahi hai

Mere Ghar Majlis e Hussain Horahi Hai

Mere Ghar Majlis e Hussain Horahi hai Lyrics

Hussain
Ya Hussain x4

Azadaran e Imam Hussain x2
Suno Hussainiyoun suno
Main Kitna khush Naseeb houn
Bicha diya hai ghar main maine farshe Majlis e aza
Karam ki hai yeh inteha mehak raha hai ghar mera
bana raha hai dill maira
Yaheen Hain waris e Aza

Utar chuki hain sawariyan, sab achuki hain bibiyan
Hain Maizban e Abid e Hazeen
Main Khak e Pai Ahle Bait houn

Chalay Aou Aye Aza daroun
Chalay Aou Aye Pursa Daroun
Aou Chalay Aou Aye Aza daroun
Madar e Hussain Achuki hain
Mere ghar Majlis e Hussain horahi hai
Mere ghar Majlis e Hussain horahi hai

Taburruka te Ishq se saji hoi hai Shah nasheen
Charag, Jhula, Mashk, Taziyay Kaheen Alam Kaheen
Wafaoun ka Zahoor hai, Yeh Karbala ka noor hai
Hai Rooshni hi Roshni, Andhaira door door hai

Aou Chalay Aou Aye Aza daroun
Madar e Hussain Achuki hain
Mere ghar Majlis e Hussain horahi hai
Mere ghar Majlis e Hussain horahi hai
Mere ghar Majlis e Hussain horahi hai

Nizam Qainat ka x2 hai jis ke ikteyar main
Woh bibi farsh e Ghum pe hai tumharay intezar main
Qasam Hussain ki Qasam, Karain gi Fatima karam
Safay Aza pe baith kar jo bahayay ga Ashk e Ghum

Aou Chalay Aou Aye Aza daroun
Madar e Hussain Achuki hain
Mere ghar Majlis e Hussain horahi hai x3

Alam ki Samt daikh kar x2 raha hai ishq ka safar
Main naaz kar raha houn ajj apne ghar ko daikh kar
Kahan main ab gharab houn, Habib ka Habib houn
Yeh lag raha hai ajj ke main Hussain se qareeb houn

Aou Chalay Aou Aye Aza daroun
Madar e Hussain Achuki hain
Mere ghar Majlis e Hussain horahi hai x3

Khuda ke intekhab ka x2 ajeeb intezam hai
jo sar kata kar jang jeetle Usse salam hai
Suno ke kia Hussain baland Ya Hussain hai
Yeh Majlisain Bataien gi yazeed thaz Hussain hai

Hussain Zindabad x4

Ya Hussain Ya Hussain Ya Aba ab dillah
Ya Hussain Ya Hussain Ya Aba ab dillah
Ya Hussain Ya Hussain Ya Aba ab dillah
Ya Hussain Ya Hussain Ya Aba ab dillah

Ya Hussain x2

Hamaisha Farsh e Aza par yahi Dua Mangi
Ghum e Hussain nai nasal ke supurd karoun
Dua Qabool Hoi x2
Meri bayas, mairi noha khwani ka waris
Yeh Maira Naad e Ali, Aza ke farsh par aksar Azan daita hai

Ana majnonal Hussain x3

Ya Hussain x4

Haan, Yeh Farshe Ghum, sunatte Sajad hai
haan usi majlis ki yaad hai
Woh pehli majlis e Aza x2
Jo Qaid sham main hoi bapa
Wahan bhi pehle Hadees e Qisa hoi hogi
Har ek bibi rida apni chumti hogi
Jab ake Fizza ne kihogi marsiya khwani
Kabhi Hussain Kaha hoga or kabhi pani
Kaha tha Zehra ne jatay hoyay Suno Fizza
Mera Hussain Mere baad na rahay piyasa
Hamaray samne yeh hogaya ghazab ran main
waheen Hussain hoa qatal tashnalab ran main

Ya Hussain x2

Ghume Hussain ki woh pehli zakira zainab
Tarapke boli sar e mimbar e Aza Zainab
Ba waqt e Asar yeh 70 kadam se daikha tha
Gareeb bhai ke seenay pe shimr baitha tha

Array Ghulo e khushk pe gin gin ke waar karta tha
Tarapkar Syed e Sajad ne Kiya noha
Main dafan karne jo baba ko Karbala pohancha
Na janay Baba ko maktal main kitna mara tha
badan yahan se uthaoun wahan se girta tha

ab or hal main kaisay karoun bayan hayay
Hazaroun zakhm they toti theen pasliyan hayay
Ba Asalam Irfan e Aza, or Zeeshan ajab Manzar tha
sir e Hussain se lipteen theen Bibiyan aisay
Gareeb e Zehra ki maiyat ho samne jaisay

Alwida Ya hussain x4

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!