Hamarey Hain Ya Hussain Lyrics
Main Karbala Mein Kharha Hun
Libas E Soag Mein Hun
Hai Arbaeen Hussain Aur Hussaini Lashkar Ka
Karoron Log Hain Sary Libas E Soag Mein Hain
Har Ek Nasl, Har Ek Rang, Har Zaban K Log
Nigah E Roza E Shabbir Ky Tawaf Mein Hain
Labon Py Haye Hussaina Ghareeb Haye Hussain
Khayal Ata Hai Iksath Sane Hijri Ka
Aur Us Muharram Ka Yehi Maqam Tha
Yehi Maqam Tha Ek Banda E Khuda Jis Ka Hussain Nam Tha
Hussain Nam Tha Jis Ka Raahe Khuda Mein Hatheli Py Sar Uthaye Huye
Har Ek Daor Ky Insan Ki Abroo K Liye
Woh Apny Dil Py Bahattar Ky Zakhm Khata Raha
Woh Apny Jism Py Zakhmon Py Zakhm Khata Raha
Qadam Barhata Raha
Qadam Barhata Raha
Bas Ek Azm Tha Insan Surkh Roo Ho Jaye
Bas Aik Dhun Thi Ky Insaniat Na Mar Jaye
Insaniat Py Hai Ehsaan Hussain Ka
Ehsan Hi To Hai Ehsan Ka Sila
Har Dil Mein Ya Hussain
Har Dil Mein Karbala
Beydaar Kar Diya Jo Zamana Hussain Ny
Bey Sakhta Yeh Tamam Zamana Keh Utha
Ky Hamarey Hain Ya Hussain
Hamarey Hain Ya Hussain
Insaniat Ki Shan Barhai Hussain Ny
Insaniat Bashar Ko Sikhai Hussain Ny
Insaniat Ki Pyas Bhujai Hussain Ny
Insan Jab Hussain Ky Paikar Mein Dhal Gaya
Insaniat Pukari Wa To Izzo Man Tasha
Ky Hamarey Hain Ya Hussain
Hamarey Hain Ya Hussain
Duniya Ky Har Adab Mein Hai Hissa Hussain Ka
Duniya Ki Har Zaban Py Hai Qabza Hussain Ka
Insan Samajh Raha Hai Yeh Rutba Hussain Ka
Tareekh Ko Hussain Ny Hairan Kar Diya
Sare Jahan Ky Ahl E Qalam Ny Yeh Likh Diya
Ky Hamare Hain Ya Hussain
Hamary Hain Ya Hussain
Sooray Mein Maotee Ky Allah Ny Sunaya
Takhleeq E Kul Mein Insan Ashraf Tujhy Banaya
Insan Ka Dard Dil Mein Insan Ky Utara
Insaniat Ka Maktab Ghar Panjatan Ka Rakha
Us Ghar Ny Panjatan Ky Ek Shehar Ko Basaya
Phir Apny Khoon Dy Ky Us Shehar Ko Sanwara
Yeh Shehar Nainawa Hai
Yeh Shehar Mariya Hai
Yeh Shehar Karbala Hai
Dil Hai To Karbala
Dil Hai To Ya Hussain
Hamarey Hain Ya Hussain
Insaniat Samajhny Chalo Karbala Chalo
Han Tham Lo Hussain Ky Daman Ko Tham Lo
Hur Jaon Aur Habib Ki Saf Mein Kharhy Lo
Dil Hai To Ab Hussain Ki Awaz Ko Suno
Farmaty Thy Hussain Woh Insan Nahi Hai
Looty Jo Dil Ka Chain Woh Insan Nahi Hai
Royen Na Jis Ky Nain Woh Insan Nahi Hai
Hans Dy Jo Sun Ky Bain Woh Insan Nahi Hai
Insaniat Bachaye Woh Insan Hai Insan
Insan Ka Dukh Uthaye Woh Insan Hai Insan
Darse Wafa Sikhaye Woh Insan Hai Insan
Jo Sab Py Rehm Khaye
Ilm O Amal Barhaye
Insaniat Bachaye
Woh Insan Hai Insan
Woh Insan Hai Insan
Insan Ko Hussain Ny Insan Bana Diya
Insaniat Ky Lab Py Musalsal Thi Yeh Sada
Ky Hamarey Hain Ya Hussain
Hamarey Hain Ya Hussain
Do Tarah Ky Hua Karty Hain Jahan Mein Insan
Hain Juda Rasty Dono Ky Baqaol E Quran
Admi Aik Yazeed E Azali Mein Ubhra
Aik Insan Hussain Ibne Ali Mein Ubhra
Us Taraf Kham Khayali Naya Islam Bany
Is Taraf Azm E Jalali Ky Shariyat Na Mity
Us Taraf Saltanat O Daolat O Taqat Ka Ghuroor
Is Taraf Chota Sa Ghar Faqon Mein Hai Manba E Noor
Aik Taqat Ky Takabbur Mein Jo Itra Ky Chala
Doosra Nana Ky Marqad Sy Dua Pa Ky Chala
Aik No Lakh Ky Lashkar Ko Liye Sath Chala
Doosra Goud Mein Asghar Ko Liye Sath Chala
Us Taraf Naizey Thy Talwaren Thiin Aur Baaly Thy
Is Taraf Shaoq E Shahadat Liye Dil Waly Thy
Us Taraf Jashn Manaty Thy Zamaney Waly
Is Taraf Bey Kas O Bey Aas Madiney Waly
Is Taraf Tishna Dahan, Sab Ky Sab Khusk Zaban
Un Ka Maqtal Tha Jahan, Rait Sari Thi Tapaan
Door Thi Nehr E Rawaan, Al Hafeez O Al Amaan
Al Hafeez O Al Amaan
Kya Dil Tha Dil Hussain Alaihe Salam Ka
Jis Mein Koi Khayal Na Tha Inteqaam Ka
Dil Tha To Dil Py Kaar E Risalat Utha Liya
Dil Tha To Dil Py Noor E Shahadat Utha Liya
Dil Tha To Dil Py Baar E Qayamat Utha Liya
Dil Tha Khuda Ky Ishq Mein Sab Ghar Luta Diya
Dil Tha To Dil Py Dagh E Bahattar Utha Liya
Dil Tha Sambhal Ky Lasha E Akbar Utha Liya
Had Hai Janaza E Ali Asghar Utha Liya
Hussain Dil Hai Tera
Hussain Dil Hai Tera
Karbala Kya Thi Laeenon Ki Shaqawat Kya Thi
Soch Insan Ky Sadaat Ki Ghurbat Kya Thi
Eid Guzri Hai Abhi Yani Ky Eid E Qurban
Aap Ny Poora Kiya Ho Ga Yeh Rukn E Emaan
Chand Sharten Hain Zabeeha Ki Baraye Insaan
Shart E Awwal Hai Ky Kamsin Na Ho, Beemar Na Ho
Aur Bhooka Na Ho, Pani Ka Talabgaar Na Ho
Roo Baroo Samny Haiwan Ky Haiwan Na Ho
Waqt E Zibha Woh Gharhi Bhar Ko Pareshan Na Ho
Shart Yeh Bhi Hai Churi Bhi Na Dikhao Us Ko
Zibh Sy Pehly Qaza Sy Na Darao Us Ko
Ho Churhi Taiz Magar Hath Hon Narmi Sy Rawan
Aik Hi Waar Mein Ho Jaye Zabeeha Qurban
Al Hafeez O Al Aman
Al Hafeez O Al Aman
Ab Jigar Tham Ky Ay Momino Yeh Hal Suno
Lo Zara Maqtal E Shabbir Ka Ehwaal Suno
Haye Haiwan Ki Dam E Zibaan Sharait Itni
Aur Jis Ghar Sy Yeh Mansoob Hui Yeh Qurbani
Us Ki Aulad Ki Maqtal Mein Yeh Taoqeer Hui
Koi Bhi Shart Zabeehay Ki Nibhai Na Gai
Al Hafeez O Alaman
Al Hafeez O Alaman
Shart E Awwal Thi Ky Kamsin Na Ho Dandaan Bhi Ho
Doodh Peeta Na Ho Mar Janey Ky Imkaan Na Hon
Tum Ko Ab Madar E Asghar Ki Qasam Ahl E Aza
Qatl Asghar Jo Huye Sochiye Woh Kya Sin Tha
Teesra Faaqa Tha Chai Maah Ka Sin Wawaila
Aik Bhi Dant Na Nikla Tha Ali Asghar Ka
Aik Balist Ky Kurta Tha Ali Asghar Ka
Doodh Peena Bhi Na Choota Tha Ali Asghar Ka
Pehla Kamsin Hai Ky Jo Zibah Nahi Nehr Hua
Teer E Seh Pehloo Sy Masoom Ko Bhi Mar Liya
Al Hafeez O Alamaan
Al Hafeez O Alamaan
Sharat E Doyem Thi Ky Haiwan Na Ho Bhooka Pyasa
Aur Haftum Sy Thy Sadaat Bina Aab O Ghiza
Halq Tar Karty Hain Qassab Bhi Qurbani Ka
Aur Bahattar Ko Dam E Zibah Bhi Pani Na Mila
Jalti Raiti Py Kahin Akbar O Abbas Giry
Aur Kahin Aon O Muhammad Kahin Qasim Thy Parhy
Zibh E Haiwan Ka Nahi Hukm Hai Haiwan Ky Hazoor
Yaan Na Shabbir Sy Zainab Na Sakina Thi Door
Shah Un Ko Woh Sooye Shah E Umam Dekhty Thy
Zibh Hoty Thy Hussain Ahl E Haram Dekhty Thy
Hussain Ya Hussain
Mana Dikhlana Churi Ka Hai Paye Qurbani
Yaan Tha No Lakh Ky Narghy Mein Ali Ka Jani
Aik Jaan Ah Khareedar Ay Azan Billah
Har Taraf Zalim O Khoon Khuaar Ay Azan Billah
Apny Rutby Ka Kisi Ko Na Shanasa Dekha
Dekha Pyasy Ny Jisy Khoon Ka Pyasa Dekha
Akhri Shart Churi Taiz Ho Narmi Sy Rawan
Ta Ky Tarhpy Na Aziyat Sy Zara Bhi Haiwan
Akhri Sajda Udhar Karny Lagy Shah E Huda
Kund Karta Hua Khanjar Idhar Shimr Chala
Taira Zarbon Sy Sar E Syed E Wala Kaata
Aur Mazloom Har Ek Zarb Py Daita Tha Sada
Zarb Py Zarb Lagi Kehty Thy Amman Amman
Zarb E Akhir Py Kaha Ho Mery Abbas
Mery Abbas Kahan Ho