Imaan ki jaan kya hai mohabbat ali ki hai
raahat jo qabr ki hai wo ulfat ali ki hai
saa’il bakaf hai sab wo saqawat ali ki hai
khaatil ko di amaan wo murawwat ali ki hai
aadil ho peshwa ho madaarul mahaam ho
gar ho nabi ke baad to aisa imam ho
sadqe ghulam teri musibat ke ya ali
ay janasheen janabe risalat ke ya ali
qurban lahoo bhari teri surat ke ya ali
ayyam hai ye teri shahadat ke ya ali
ye zulm be jahat ye sitam be sabab huwa
talwar tere sar pa lagi kya ghazab huwa
unneeswi se aapka matam hai ya ali
khoon hogaye dilon ka ye aalam hai ya ali
daftar jahan ka darham o barham hai ya ali
mahe siyaam mahe moharram hai ya ali
moula ki nazr ko gohar e ashk laaye hai
ye rozedaar aapke purse ko aaye hai
moula shigaafta huwa sajde may sar tera
syed tabaah hogaya kufe may ghar tera
sarwar alam dilon ko hai shaam o sahar tera
aaqa inhi dino may huwa tha safar tera
aalam se be-khabar thay khuzu o khushu may
talwar jab lagi thi jhuke thay ruku may
ghar may khuda ke qatl huwa rozedaar haaye
hae hae imam haaye shah e zulfiqar haaye
ay qana zade haq shahe e taa’at guzaar haaye
moulood haram may hai to najaf may mazaar haaye
ye bandagi nisar e janabe ameer ke
nikle to ghar se marke khuda e qadeer ke
laaya tha zehar may wo jafa jo bujha ke taygh
moula giray zameen pa sajde may khake taygh
ghul pad gaya ke sar pa lagi murtaza ke taygh
khaai khuda ke sher ne ghar may khuda ke taygh
gehra hai zaqm farqe imame hijaaz par
sar se tapak raha hai lahoo ja’nimaz par
sher e khuda jo hathon se thame thay apna sar
khoon dono koniyon se tapakta tha khaak par
bhaaga jo ibn e muljim e maloon o bad siyar
pakda usay ali ke muhibbon ne daud kar
laaye jo haath baandh ke moula ke saamne
khaatil pa muskura ke nazar ki imam ne
farmaya mai ne kounsi ki thi teri khata
paadaash nekiyon ki yahi hai jahan may kya
kya mai bura imam tha ay baaniye jafaa
roya jo sar jhuka ke to moula ne ye kaha
is dard may bhi sab ke maraz ki dawa hai hum
baandho na iske haath ke mushkil kusha hai hum
dono shabe ali ko tadapte huwi basar
lete thay is taraf kabhi karwat kabhi udhar
rokar dabaate paon jo shabbir e naamwar
reh jaate thay imam e do alam hila ke sar
rudaad thi nazar may mujassam hussain ki
awaaz sun ke rote thay zainab ke bain ki
jab beeswi ka din bhi tadapkar huwa tamam
ummul baneen se chounk ke kehne lage imam
do din se aah sab mere bache hai be ta’aam
faaqe may in pe guzregi kya aaj ki bhi shaam
acha hoon ab to mai ye abas be-qarar hai
khana inhe khilao ke sab rozedaar hai
bole hussain baap se hathon ko jod kar
sab khaaen phir jo aap tanawul kare agar
farmaya rizq uth gaya majboor hai pidar
pani bhi ab galay se utarta nahi pisar
daawat ali ki aaj hai ghar may ilaah ke
roza khulega saath risalat panaah ke
chup hogaye ye kehkar shehinshah e kayenaat
samjhe ye sab ke ghash may hai shah e niko sifaath
jis waqt baaqi rahgayi kuch kam ghadi wo raat
tayghe ajal ne khatta kiya rishta e hayaat
tadka tha noor ka ke safar kar gaye ali
sab shia be-imam huwe mar gaye ali