Chehlum jo karbala may bahattar ka ho chuka
paywand bekason ke tan o sar ka ho chuka
aur fateha hussain ke lashkar ka ho chuka
qabron pa shor aal e payambar ka ho chuka
maatam may teen roz rahe shor o shain se
roye lipat lipat ke mazaar e hussain se
misle charaagh gor e ghareeban pa dil jalaye
phoolon ke badle khabron pe laqte jigar chadhaye
pyaron ki bood o baash ke saaman jo yaad aaye
be saaqtha pukaari kaleja pakad ke haaye
hai hai wo parda daar hamare kidhar gaye
be parda hoke aale nabi dar badar gaye
maqtal ke aas paas ye bewon ki thi fughaan
zainab jabeen lahad pa dhare karthi thi bayan
ay mere karbalayi baradar hussain jaan
hamsheer teen din se tumhari hai mehmaan
allah meri baat bhi poochi na aap ne
zindaan ki waaredaat bhi poochi na aap ne
raazi hoon jo riza e imam e jaleel hai
par khaabil e mulaaheza baazu ka neel hai
na koi daa rass hai na koi kafeel hai
bhai baghair aap ke zainab zaleel hai
pusht o panaah uth gaya be-khanuman huwi
dekho ye pusht khaabil e noke sina huwi
marjaye sab yateemon ke sar par rahoon jo mai
bachpan may unki qald ki eezaa sahoon to mai
bahlane ko tumhari kahani kahoon to mai
maa hoon to mai phupi hoon to mai baap hoon to mai
inka bhi daagh aaj milay yaake kal milay
aise nahi naseeb ke qidmath ka phal milay
mai jaanthi thi shehr basa hoga bhai ka
hoga hujoom qabr pa saari khudaai ka
chehlum karoongi dhoom se mai karbalayi ka
pursa bhi yaan koi nahi zehra ki jaayi ka
moo dhaampne ko aap hi palla bhi leti hoo
aur apne dil ko aap hi pursa bhi deti hoo
chehlum to kar chuki mai dilafgaar ya hussain
ab rauza kis tarha se ho tayyar ya hussain
beta bhi aur bahan bhi hai naadar ya hussain
aakhir kabhi to aayenge zawwar ya hussain
takya hai kaar saaziye parwardigaar par
is dam ko saayeban bhi nahi hai mazaar par
hone laga sawaar rasaala basheer ka
danka baja haram ke waidaa e aqeer ka
qaima utha lahed se shah e mashraqain ka
aur sab tabarrukaat jaab e ameer ka
turbat ke gird oont barabar khade huwe
ruqsath ko jama qabr pa chote bade huwe
zainab pukaari kooch ka saaman hogaya
phir shehr mere bhai ka veeran hogaya
aur maqbera hussain ka sunsaan hogaya
hoo ka maqaam qatl ka maidan hogaya
aayi musaafiron ko mere wo zameen pasand
dunya may jis zameen ko basti nahi pasand
ay karbala e sarwar e dilgeer alweda
ay qatlgaah e hazrath e shabbir alweda
ay qabr e ibne saaheb e tathheer alweda
ay bhai jaan jaathi hai hamsheer alweda
kya be-naseeb hai ye nawasi rasool ki
tum ne mujaweri na hamari qubool ki
bhaiya utho kajawe may mujh ko tumhi bithao
bhaiya mai be naqaab hoo rehgiron ko hatao
rokein qanaath akbar o abbas ko bulaao
khaali hai godh bhabhi ki asghar ko lete aao
sardaar saare khaafele ke aage hote hai
tayyar kaarwaan huwa aur aap sote hai
kab se tumhe pukaar rahi hoo mai qastha tan
hae hae jawaab bhi nahi dete shah e zaman
bhaiya gale laga loon to jaaun suye watan
aayi nida sidhaaro khuda haafiz ay bahan
sughra ko meri simth se bhi pyar kijiyo
hoga sawaab khaatir e beemar kijiyo