Bilqees Paasban Hai – Marsiya

Bilqees paasbaan hai ye kiski janaab hai

maryam duroodqan hai ye kiski janaab hai

shane khuda ayaan hai ye kiski janaab hai

dehleez aasman hai ye kiski janaab hai

     kursi zameen se leti hai goshe panaah ke

     baitha hai arsh saaye may kis baargah ke

ulfat khuda ke baad habeebe khuda ki hai

munsif ke paas ye bhi vila kibriya ki hai

parwa na faaqe ki na shikayat ghiza ki hai

eeza faqat judaai-e qairulwara ki hai

     aabo ghiza ki fikr na sone ka dhyan hai

     ankhon may shakl baap ki rone ka dhyan hai

bete pukaarte hai ke lillah baahar aao

amma na itna ro’o ghulamon pe rahm khao

nana kahan gaye hai bula laye hum batao

hum kapde phaadte hai nahin to gale lagao

     nana ke baad haaye ye beqadr hum huve

     sab ek taraf huzoor ke bhi pyar kum huve

aaqir wafoore girya se aajiz huve arab

hyder ke paas rone ki faryaad laaye sab

ki arz fatima se kaho ae wali-e-rab

ya sayyeda tumhari raiyath hai jaan balab

     khane ka koi waqt na sone ka waqt hai

     jo waqt hai woh aapke rone ka waqt hai

baher se murtuza gaye ghar may jhukaye sar

moo dhanpe ro rahi thi akeli wo qushsiyar

dene lage payame arab shahe bahrobar

ghabrake boli haye karoon kya mai be-pidar

     maabu may mauth huve to marjaaon ya ali

     baba ka soag leke kidhar jaoon ya ali

meri taraf se ahle madine ko doh payam

logo qafa na ho meri ruqsat hae subho-shaam

doh chaar din tumhare mohalle mein hai maqaam

ronay ki dhoom ho chuki ab kaam hai tamaam

      ghabrati hoon watan mein safar ke maheene se

      baba sidhaare kaam mujhe kya madine se

ek din nigah karte hai kya shahe la-fatah

mathbaq hai garm aaridey joh hai gundha hua

nahla rahi hai bachon ko mal mal ke dast-o-pa

phaila diye hai kurte bhi dho kar juda juda

     poocha ke itne kaamon ka jo shagl aaj hai

     is waqt kuch bahaal tumhara mizaaj hai

boli ke aaj raat ko ho jaungi bahaal

kal mere kaarobar may turn honge qud nidhaal

qidmat ka mere bachon ki hoga kise khayaal

nehla dhula diya ke pareshaan tha unka haal

      kurte bhi dhoye khooth bhi kal tak ka de chali

     sehra na dekha ek ye armaan le chali

phir toh har ek mohalle may mahshar bapa hua

apne paraaye daude ke hae hae ye kya hua

fizza pukari sayyeda ka waaqia hua

hujra batoole paak ka maatam sara hua

     chaati qalaq se dekhne waalon ki phat gayi

     moo rakh ke moo pe murde ke zainab lipat gayi

mai doodh baqshwane na paayi ke chal basi

sharbat bana ke laane na paayi ke chal basi

kuch haale dil sunane na paayi ke chal basi

mai be-naseeb aane na paayi ke chal basi

     kya jald tar zamana hua inteqaal ka

     hae hae abhi to sin tha kul athara saal ka

ay meri faaqa kash meri nadaar amma jaan

ay meri be-dawa meri beemar amma jaan

kaabe ki aabroo meri sardaar amma jaan

ay meri sabera meri nachaar amma jaan

     nana moovi to thi koi taaza qitaab do

     amma jawab do meri amma jawab do

nanhe se sar khule hai nahin sar pe topiyan

kehte hai kuch to moo se nikalta haaye maa

likha hai jab janaze pa pahunche wo neem jaan

hasrat se dekha murde ka moo aur ye ki fughaan

     amma ghulam aaye hai ruqsat ke waaste

     jaati ho tum nabi ki ziarat ke waaste

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!