Ay Rozedaaro Aaho Buka Ke – Marsiya

Ay rozedaaro aaho buka ke ye roz hai

sadaat par nuzool o bala ke ye roz hai

sartaaj e ousiya ki azaa ke ye roz hai

tum se wida-e shere khuda ke ye roz hai

      zakhmi huwa imam tumhara namaz may

      zaalim ne rozedaar ko maara namaz may

maahe mubarak e ramazan aur khuda ka ghar

thadhka wo noor ka wo shab e qadr ki sahar

peshe khuda wo sajde may shere khuda ka sar

aur haaye taygh zulm ki zarbath wo farq par

      fawware khoon ke zakhm e jabeen se baha kiye

      sajde may aap rabbi ul aala kaha kiye

sar peeto momino sare hyder huwa do neem

emaan ke burj ka maye anwar huwa do neem

socho to farq shaah ka kyun kar huwa do neem

likha hai maghz taksar e athar huwa do neem

      zehra ne baal khole nabi nange sar huwe

      tum be imam aur hassan be pidar huwe

likha hai jab do neem huwa farq e murtaza

sidre se jibraeel ke rone ka ghul utha

phenki saron se zainab o kulsoom ne rida

chilla ke bhaiyon ko pukari ghazab huwa

      sunte ho jibraeel ne is waqt kya kaha

      wo bole peet kar qutl-al murtaza kaha

daude ye kehke jaanib e masjid wo nayk zaat

doobi huwi lahoo may mili kashti e najaat

maathe pa khoon baap ka mal kar kahi ye baat

hai hai uthaya qibla o kaaba pa kisne haath

      rulwaya nana jaan ko darus salam may

      bin baap ka kiya hamay maahe siyaam may

nagaah namaziyon ka groh aaya nange sar

hyder ne mujtaba se kaha aankhein khol kar

padhwao tum namaz jama’ath ki ay pisar

ham baithe baithe padhthe hai apne maqam par

      lekin jabeen ke zaqm pe roomal baandh do

      mera sar hai shigaafta ay laal baandh do

baandha hassan ne zaqm e sar e shah e zuljalaal

bole ali ke aur kaso dard hai kamaal

shabbar ne jab kasa to kiya phir wohi miqaal

phir chust baandh kar ye pukara wo khush-qisaal

      ab dard kaisa ay asad e zuljalaal hai

      haathon se sar pakad ke kaha ke wohi haal hai

padwa ke phir namaaz jama’ath ki mujtaba

baba ke sar pa padhne lage aaya e shifa

nagaah aake ye kisi aurat ne di nidaa

zehra ke pyaro tum se ye zainab ne hai kaha

      baba ko mere jald jo ghar may na laaoge

      to sar barahna mujhko bhi masjid may paaoge

bole ali hawaas abhi se baja nahi

zainab se keh do koofa hai ye karbala nahi

mai be dayaar o bekas o be-aashna nahi

shia hai gird nargha e ahle jafaa nahi

      parde se nange sar tu abhi kyun nikalti hai

      kya halq par hussain ke talwar chalti hai

ummul baneen ko paaya jo sadme may mubtela

baahein galay may daal ke abbas ne kaha

ay amma sadqa dene se rad hoti hai bala

bhai hassan hussain hai zehra ke dilruba

      roshan karo jahaan may tum apne naam ko

      sadqa utaaro shah e najaf par ghulam ko

ye sunke us hiraas may sambhli wo be-qaraar

leke balayein boli chalo mere gul ezar

baba pa tum nisaar ho tum par ye maa nisaar

chillayi badke majma e matam may ek baar

      saydaniyo randape ke gham se panaah do

      sadqa utaarne ko mai aayi hoo raah do

bole ali tu hosh may ay nowha gar nahi

abbas ke wiqaar ki tujh ko khabar nahi

ye fatema ka beta hai tera pisar nahi

shabbir ke liye koi aisi sipar nahi

      zehra se rutba poochiye is noor e ain ka

      ye karbala may hoega fidya hussain ka

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!