Paani Nahi Chahye

Paani Nahi Chahye Lyrics | Mesum Abbas 2023

Paani Nahi Chahye Lyrics

Dhal Gaya Din woh Takti Rahi Raasta
Hath Se Damane Sabr Jata Raha
Rukh Kiya Su E Darya Ye Rokar Kaha
Haye Rokar Kaha x2
(Chacha Jaan Paani (Nahi Chahye) x2 ) x4
Chacha Jaan Paani Nahi Chahiye x2

Bas ap dariya se ajaiyay
Chacha Jaan Paani Nahi Chahiye x2

Meri Pyaas Tu Tum Se Bhadh Kar Nahi
Main Mar Jaaungi Mera Karlo Yaqeen

Mujhe Raas Aayi Na Yeh Sar Zameen
Khudara Na Ab Aur Tarpaaye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahiye x2
Chacha mujhko maloom hota agar
Nhi aeinge ap bhi laout kar
Phir mashk nhi daiti nhi nohagar
Meri mashk khali hi le aiyay
(Nahi Chahye) Chacha Jaan Paani Nahi Chahiye x2

Nahin Jaane Woh Kaisi Ghadi Aayi Thi
Pidar Se Ijazat Jo Dilvayi Thi
Main Khud Apni Gurbat Se Ghabraayi Thi
Khata Dar Guzar Meri Farmayiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye x2

Chacha Yeh Sakina Ka Wada Raha
Ke Ab Al-ataash Ki Na Dongi Sada
Bina Aap Ke Hai Yeh Jeena Saza
Jeeyon Kaise Itna To Batalaiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye x2

Sakina Pe Jaan Dene Wale Chacha
Kya Mujhko Kis Ke Hawale Chacha
Bhula Dongi Honton Ke Chhale Chacha
Mujhe Aa Ke Sine Se Lapataiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye x2

Khabar Aap Ke Qatl Ki Yun Mili
Mere Baba Jaan Ki Kamar Jhuki
Rida Phank Ke Ro Rahi Hain Phuphi
Yeh Manzar Dekhnay Aaye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye x2

Chidi Mashk Meri Koi Gham Nahi
Meri Aas Tuti Koi Gham Nahi
Main Pyaasi Rahungi Koi Gham Nahi
Dawa Mere Zakhmon Ki Ban Jaiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye x2

Yeh Mazhar, Yeh Mesum, Yeh Ahl-e-Aza
Yehi Keh Ke Kartay Hain Matam Bapa
Yeh Jumla Sakina Hai Marsiya
Bas Ab Aap Darya Se Aa Jaiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!