Sada Rahay Ga Hussain Hussain Lyrics
Hussain(A.s.) Hussain(A.s.)
Fana Hojay Gi Duniya
Lakin Khuda(J.j.) Ka Hai Wada
Jab Tak Yeh Aza Rahay Gi
Zehra(S.a.) Ki Dua Rahay Gi
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Sada Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Zindabad Zindabad
Shah Ki Aza Zindabad
Aza Rahay Gi Sada Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Shabbir Ka Ghum Rahay Ga Sada
Naslo Ko Wirse Main Dai Di Dua
Kal Hum Rahain Na Rahain Kia Pata
Zikre Aza Aaho Buka
Yeh Soch Kar Karna Sada
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Sada Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hum Hain Dua E Syeda
Hum Hain Fida E Hussain
Hum Hain Dua E Syeda
Hum Hain Fida E Hussain
Zindabad Zindabad
Shah Ki Aza Zindabad
Aza Rahay Gi Sada Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussai
Niklay Gharo Say Sabhi Noha Gar
Paidal Julooso Main Karnay Safar
Na Fikre Mousam Na Dushman Ka Dar
Oonchay Alam Bartay Qadam
Rokay Hamay Hai Kis Main Dum
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Seenay Main Dil Dil Main Hai Dharkan
Dharkan Main Hussain
Aankho Main Ashko Ka Hai Sawan
Sawan Main Hussain
Karbo Bala Hai Mera Maskan
Maskan Main Hussain
Haan
Tum Bhi Karo Hum Bhi Karain – Matam E Hussain
Tum Bhi Parho Hum Bhi Parhain – Majlis E Hussain
Haan
Tum Bhi Bano Hum Bi Banain – Zair E Hussain
Tum Bhi Chalo Hum Bhi Chalain – Maqtal E Hussain
Tum Bhi Uthao Alam – Hum Bhi Uthay Alam
Tum Bhi Barhao Qadam – Hum Bhi Barhay Qadam
Tum Bhi Yeh Khao Qasam – Hum Bhi Yeh Khain Qasam
Tum Bhi Manaogay Ghum – Hum Bhi Manaengay Ghum
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Rasm E Wafa Yun Nibhate Hain Hum
Bacho Ko Saqqa Banatay Hain Hum
Tehzeeb E Majlis Sikhate Hain Hum
Noha Parho Matam Karo
Hum Nay Kia Tum Bhi Karo
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Zikr E Aza Ko Or Barhao
Naslo Ko Yun Parwan Charhao
Matmi Or Namazi Banao
Jo Kia Tumne Unhay Bhi Sikhao
Nikle Jaha Bhi Juloos Aza Kay
Raho Main Unkay Sabeelain Lagao
Haan
Yeh Hain Sabeelain Yeh Pyaso Ka Matam
Raho Main Hai Yeh Aseero Ka Matam
Yeh Khoon Ka Pursa Yeh Zakhmo Ka Matam
Shoolo Pay Abid Kay Chaalo Ka Matam
Zikr E Sakina Tamancho Ka Matam
Hota Rahega Shaheedo Ka Matam
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Har Saans Per Qarz Hai Shah Ka Ghum
Jitna Bhi Matam Karain Woh Hai Kam
Farsh E Aza Par Nikal Jay Dum
Jitni Bachi Hai Zindagi
Kartay Rahain Yeh Nokri
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Mout Kay Sailaab Main Har Khuhsk O Tar Bah Jay Ga
Haan Magar Naam E Hussain Ibn E Ali(A.s.) Rah Jay Ga
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Bibi Ki Mehnat Yeh Rang Laaye Hai
Matam Ka Har Koi Shaiday Hai
Aehl E Aza Nay Qasam Khay Hai
Yeh Dil Hai Kia Yeh Jaan Hai Kia
Shabbir Par Sub Kuch Fida
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hum Na Kabhi Bholenge Yeh Ghum
Mola Ki Qasam
Noha Parhenge Yunhi Har Dum
Mola Ki Qasam
Ruknay Nahi Denge Yeh Matam
Mola Ki Qasam
Jhukne Nahi Denge Yeh Parcham
Mola Ki Qasam
Haan
Aehl E Aza Ao Matam Karain Hum
Mehve Buka Ao Matam Karain Hum
Sadat Ka Ao Matam Karain Hum
Ghum Hai Bara Ao Matam Karain Hum
Goonjay Sada Ao Matam Karain Hum
Bas Har Jaga Ao Matam Karain Hum
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Yeh Tera Matam Ye Nohay Rahenge
Farhan O Mazhar Yeh Kehte Rahenge
Nasloo Ko Paigham Dete Rahenge
Yunhi Charag E Aza Bhi Jalenge
Na Yeh Qadam Ruk Sakay Na Rukenge
Majlis Ki Janib Yeh Bartay Rahenge
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahenge
Sun Lay Yeh Sara Zamana