Chand ko dakh ky Sughra na kaha Haye Hussain
Agaya Mah Muharram par nahi aye Hussain
Yaad pardais ma aati ha lehad amma ki
Dil ehwal sunany ko kahan jaye Hussain
Ap aye na khabbar aye na Akbar aye
Kaise israr ma Sughra sa jiya jaye Hussain
Jab se ya chand Muharram ka nazar aya ha
Amma roti ha tujhay maray maa jaye Hussain
Koi tasweer to Zahra ki rahi parday mai
Ya to acha hua Sughra ko nahi laye Hussain
Naam par shah ne Akbar ke kharidi ha zameen
Kaise jati ha tujhay bhai k dikhlaye Hussain
Eid bhi sog ke alam ma guzari us na
Haye Akbar kabhi kehti thi kabhi haye Hussain
Mustaqil shah ke ankhon se thay ansoo jaree
Khat Sughra ko mukammal nahi parh paye Hussain
Ak ak beti se rukhsat hue khaime ma magar
Afsoos ka Sughra se na mil paye Hussain
Likh ka noha ya Takallum na dua mangi ha
Har Azadar ko Ashoor pe bulwaye Hussain