Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Dur Kardo Aakar Abbas Gham Hamhare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Bab E Hwaij Ho Zainab Ka Sahara Ho
Ho Fazl O Karam Ham Pe Tum Fazl Ke Baba Ho
Ham Kis Se Madad Mangay Koi Nahi Hamara
Bas Jee Rahay Hain Maula Ham Apke Saharay
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Dur Kardo Aakar Abbas Gham Hamhare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Milnay Ke Liye Aao Hasrat He Mere Dil Ki
Na Rasta Aasan Hai Na Zaad E Safar Koi
Mushkil Yeh Meri Hal Ho Mushkil Kusha Ke Betay
Ajayeen Jald Ham Bhi Darbaar Mein Tumahray
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Dur Kardo Aakar Abbas Gham Hamhare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Jab Ghar Mein Aza Khana Ro Ro Ke Sajaate Hain
Yeh Kehte Hoye Momin Hathon Ko Aُthate Hain
Zehra Ki Dua Ho Tum Sun Lo Dua Humahari
Ajao Mere Ghar Bhi Uum Mul Banain Ke Pyare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Dur Kardo Aakar Abbas Gham Hamhare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Matam Ki Qisam Maula Seenay Ka Sakoo Tum Ho
Ae Qamar Bani Haashim Ab Chain Miley Dil Ko
Uss Bali Sakina Ki Gurbat Ka Vasta Hai
Kanon Se Jisske Chhenney Zalim Ne Goshwaray
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Dur Kardo Aakar Abbas Gham Hamhare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Andaz E Wafadaari Duniya Ko Sikhate Hain
Wo Hath Rhin Baqi Parcham Jo Uthate Hain
Mein Vaastaa Uss Pal Ka Deta Hoon Tumko Maula
Kat Kar Giray Thy Baazu Jab Neher Ke Kinare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Dur Kardo Aakar Abbas Gham Hamhare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Jo Godyan Khaali Hain Ab Jald Unhen Bhardo
Uss Maa Ke Waselay Se Aulaad Ataa Kardo
Jhulay Se Lipt Kar Jo Kehti Thi Mere Asghar
Tum Bin Rubab Kaisay Ab Zindagi Guzaray
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Dur Kardo Aakar Abbas Gham Hamhare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Bemaar Shifa Payen Ho Jayen Raha Qaidi
Sajjad Ki Gurbat Ki Hai Tumko Qisam Ghazi
Abad Rahay Sir Pe Saya Tairay Alam Ka
Farsh E Aza Pe Aa Kar Ro Ro Ke Dil Pukare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Dur Kardo Aakar Abbas Gham Hamhare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Zeeshan O Raza Kyun Na Faryaad Karen Tum Se
Jab Zrbin Lagen Tera Shabbir Ki Gardan Pe
Har Zarb Pe Maula Ne Rokar Tumhe Puraka
Manzar Wo Yaad Kar Ke Rote Hain Gham Ke Maare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Dur Kardo Aakar Abbas Gham Hamhare
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale