Reciter and Shayar: Unknown
tadapna wo akbar ka keh keh ke pani
jhijhakti qaza aur ujadti jawani
serhane pisar ke pidar sun raha hai
har hichki ki awaaz may pani pani
na zainab ki dharas na maa ka sahara
bhare ghar se rukhsat hui hai jawani
qayamat hai ab inqelabe zamana
zaeefi ke haaton se uthti jawani
ubalte hai abbas ke run may aansu
tapakta hai mashke sakina se pani
jab asghar hamakte hai haaton pe sheh ke
ubalta hai darya chalakta hain pani
hai ab jalte qaimo may majboor abid
bahot paas sholay bahot door pani
wo darbare haakim wo lakhon ka majma
wo bhai ka khissa wo behen ki zabani
rahe neel bazue zainab pe baaqi
watan ko gayi karbala ki nashani