Reciter: Asad Jahan
jo fatema ki rage jaan ali ka hai dilbar
hussain minni kahen jisko shafa e mehshar
wo jisko kar diya taraaj karbala may ghar
musibaton ki hadein khatm hogayi jis par
gurohe chaak ghareebon salam karta hai
qayame sheh ka nigehban hussain ka bhai
wo jisne ki thi sakina ki ran may saqqayi
labe furaat kate haath jiske maut aayi
wafa ne jisse jahan may hayaat e nooh paayi
gurohe chaak ghareebon salam karta hai
jo quwwate dil e laila tha qubaroo wo jawan
wo jisko dekh ke hota tha mustufa ka guman
wo jisne aine jawani may khaayi dil pe sina
wo jiske byah ka madar ko rehgaya armaan
gurohe chaak ghareebon salam karta hai
jo ek raat ka byaha tha qasime zeejah
wo jiski mehndi bhi chutne na paayi wo naushah
hui ho laash bhi pamaal jiski dasht may aah
laga ho jisko gehan karbala ke ban may wo mah
gurohe chaak ghareebon salam karta hai
na maa ka doodh na pani mila jise wo sagheer
wo jisko dekhke tukde jigar ho wo baysheer
wo jisko legaye maidan may hazrate shabbir
wo jiska nanha gala aur hurumala ka teer
gurohe chaak ghareebon salam karta hai
wo jisko seene pa apne sulate thay sarwar
wo jiske kano se tapka lahoo chinay gowhar
yateem jaanke todi musibatein jispar
rahi aseeron ki jo sham tak shareeke safar
gurohe chaak ghareebon salam karta hai