Salam e Aakhir – Salam

Shayar: Ale Raza
Reciter: Nasir Jahan


salam khaak nasheeno pa sogwaron ka
ghareeb dete hai pursa tumhare pyaro ka

salam un pa jinhe sharm khaaye jaati hai
khule saron pe aseeri ki khaak aati hai

salam us pa jo zahmat kashe salaasil hai
musibaton may imamat ki pehli manzil hai

salam bhejte hai apni shahzadi par
ke jisko sawnp gaye marte waqt ghar sarwar

musafirat ne jise bebasi ye dikhlayi
nisar kar diye bache na bach saka bhai

aseer ho ke jise shaamiyo ke narghay may
husainiyat hai sikhaana ali ke lehje may

sakina bibi tumhare ghulam haazir hai
bujhe jo pyas to ashkon ke jaam haazir hai

ye sin, ye hashr ye sadmay naye naye bibi
kahan pa baithi ho qaime to jal gaye bibi

pahaar raat bari der hai sawere may
kahan ho shaam-e-ghareeban ke ghup andhere may

zameen garm, yateemi ki sakhtiyan bibi
wo seena jis pa ke soti thi ab kahan bibi

janaab-e-maadar-e-baysheer ko bhi sab ka salam
ajeeb waqt hai kya dein tasalliyon ka payam

abhi kaleje may ek aag si lagi hogi
abhi to godh ki garmi na kam hui hogi

nahin andhere main kuch soojhta kidhar dhundhen
tumhara chaand kahan chhup gaya kidhar dhundhen

na is tarah koi kheti hari bhari ujdi
tumhari maang bhi ujri hai godh bhi ujdi

nahi layeeno may insaan koi khuda hafiz
darinde aur ye be-warisi khuda hafiz

shareek-e-haq darood-o-salam-e-payghambar
salam sayyid-e-lawlaak ke lute ghar par

salam mohsin-e-islam khasta tan laasho
salam tum pe shaeedon ke be kafan laasho

salam tum pe rasool-o-batool ke pyaro
salam mehr-e-shahadat ke gird sayyaro

bache to agle baras ham hain aur ye gham phir hai
Jo chal base to ye apna salaam-e-aakhir hai

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!