Bas Hussain Bas – Salam

Shayar: Rehaan Azmi
Reciter: Syed Zargham Abbas


asghar ko khatl gaah may laye hussain jab
rote huwe faraat ne dekhe wo sukhe lab
asghar ke hont sukhe huwe pyas ke sabab
dekhe to khud pukaar ke bola jahan tarab
ay jibraeel kehdo zara bas hussain bas
ab imtehan qatm….

roze qalam pe arsh pe rotay thay ambiya
hillay may teer jod raha tha jo hurmala
is imtihaan-e-sabr se khud maut ne kaha
bano ke mehlekha ko bacha bas hussain bas
ab imtehan qatm….

isa jigar-figaar thay musa bhi ashk baar
yaqoob de rahe thay sada roke baar baar
karbobala may thi yahi ayub ki pukaar
moo ko kaleja aane laga bas hussain bas
ab imtehan qatm….

kehte thay nooh apne safine ko chod kar
gardish may na aaye kahin phir se behrobar
sar ko jhukake kehte thay yun nusba chashmetar
are manzar hai dardnaak bada bas hussain bas
ab imtehan qatm….

salman apne taqte hawayi pe rote thay
yusuf ye zulm dekh ke behosh hote thay
dawood kashte kalb may ashkon ko botay thay
adam ki aa rahi thi sada bas hussain bas
ab imtehan qatm….

tadpa jo teer khaake wo bano ka nownehaal
asghar ke khoon se chehraye sarwar huwa jo laal
kehne laga rasool se tab rabd-e-zuljalaal
kahiye ke zakt had se bada bas hussain bas
ab imtehan qatm….

zainab jo apne bachon ke marne pe chup rahi
jo aakife mizaaje shahe tashnaqaam thi
us waqt uske sabr ki deewaar gir gayi
boli gira ke sar se rida bas hussain bas
ab imtehan qatm….

umme rubaab jhoolay se lipti ye kehti thi
ya rab mujhe azeez hai asghar ki zindagi
kuch bhi teri kaneez ne maanga nahi kabhi
de hukm sheh ko mere khuda bas hussain bas
ab imtehan qatm….

aakhir rehaan azmi di rab ne ye sada
hai imtehane sabr ki shabbir inteha
jibreel bole ab hai yahi marzi-ye khuda
karbobala se arsh pe aa bas hussain bas
ab imtehan qatm….

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!