Salam Ya Hussain Lyrics | Nadeem Sarwar 2007

Salam Ya Hussain Lyrics

Salam Salam Salam Ya Hussain

Ya Khuda Ya Khuda
Surkh Hai Aasman Cheekhti Hai Fiza Salam Salam Ya Hussain
Ghaib Sy Aa Rahi Ahi Musalsal Sada Lo Aftaab E Shahadat Tulooh Ho Gaya

Salam Ya Hussain

Hussain Ya Hussain

Salam Ya Hussain

Bar Zaban O Dilam Ya Hussain Ya Hussain
Marhaba Mohtaram Ya Hussain Ya Hussain
Salam Ya Hussain Salam Ya Hussain

Azeem Tha Azeem Hai Azeem Tar Hai Ya Hussain
Khudaye Pak Ki Nazar Teri Nazar Hai Ya Hussain
Yeh Dill Bhi Tera Dil Nahi Khuda Ka Ghar Hai Ya Hussain
Wahan Wahan Azan Hai Jidhar Jidhar Hai Ya Hussain
Sinaan Ki Nok Par Azan Tera Jigar Hai Ya Hussain

Sinaan Ki Nok Par Buland Zindagi Ko Kar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Hussain

Hussain Woh Jo Maqtalon Ko Maktabon Mein Dhal Dy
Hussain Woh Jo Mushkilon Sy Deen Ko Nikaal Ly
Khuda Agar Talab Kary Hussain Apny Laal Dy
Hussain Jo Talab Kary Woh Rabb E Zuljalaal Dy
Hussain Woh Sakhi Hai Jo Gadaa Ko Bey Sawal Dy

Kamal Yeh Hai Khud Khuda Kahy Kamal Kar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Bulandion Sy Pooch Lo Sinaan Sinaan Hussain Hai
Qadam Qadam Hussain Hain Nishan Nishan Hussain Hain
Dilon Mein Ahl E Dard Ky Rawan Dawan Hussain Hai
Zamana Poochta Hai Yeh Kahan Kahan Hussain Hai
Jahan Jahan Hussain Hain Wahan Wahan Hussain Hain

Khuda Ny Is Shaheed Ko Ajeeb Yeh Samar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Ajeeb Hai Yeh Marhala Ajeeb Hai Yeh Hosla
Bicharh Gaya Hai Qafily Sy Yeh Ameer E Qafila
Ghira Hai Faoj E Shaam Mein Akela Ibn E Sayeda
Hai Door Khaima Gaah Sy Yeh Fatima Ka Laadla
Sukoon Apna Dy Chuka Qaraar Apna Dy Chuka

Hussain Ny Khudai Ko Hi Bey Qaraar Kar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Idhar Guloo E Khushk Par Hussain Ky Churi Chali
Udhar Qareeb E Alqamah Tarhap Ky Reh Gaya Jari
Behan Ko Hosh Na Raha Sakina Khak Par Giri
Sadayen Goonjny Lagiin Hussain Ya Hussain Ki
Yeh Kis Ny Apna Sar Diya Khudai Cheekhny Lagi

Sinaan Sy Sar Ky Khoon Ny Salam E Akhri Kiya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Hussain Badshah Par Salam Har Zamaan Ka
Salam Ho Salam Ho Zameen O Aasman Ka
Salam Ibne Sayeda Py Sarwar O Rehan Ka
Har Aik Rang O Nasl Ka, Salam Har Zuban Ka
Salam Shah E Karbala Khudaye Mehrban Ka

Khuda Ka Zikr Do Jahaan Mein Tu Ny Aam Kar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!