Salam Ay Zuhair Ibn E Qain Lyrics
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain x3
Aye Qain Ke Betay Aye Zuhair e Saf-e-Awwal.
Haan Aaj Bhi Zindah Hai Zamane Mein Tera Kal.
Rahwar Ko Talwar Ko Bas Kehday Agar Chal.
Tu Apne Harefoon Mein Macha Deta Hai Halchal.
Aye Naz-e-Shujat Yeh Zoor Yeh Taqat.
Tu Ran Mein Utar Aaye Tu Dushman Pe Ho Haibat.
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Ab Our Biyaan Kaun Karey Teri Barai.
Abbas Ke Bhai Ne Kaha Hai Tujhe Bhai.
Tujh Par Ho Salam Aye Sheh-e-Wala Ke Fidai.
Ghar Chor Diya Tu Ne Wafa Aisi Nibhai.
Islam Ki Khatir Tu Bab Gaya Nasir.
Shabeer Se Tu Kehta Raha Maula Main Hazir.
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Bolay Shab-e-Ashor Diya Shah Bhuja Ke.
Jo Chahe Chala Jaye Abhi Jan Bacha Ke.
Oss Waqt Kaha Tu Ne Yeh Shabeer Se Aa Ke.
Jeena Hai Mujhe Aap Pe Sar Apna Kata Ke.
Teri Yeh Tajali Sarwar Ki Tasali.
Mehdi Ne Tujhe Keh Ke Pukara Hai Bajalli.
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Yeh Rutba Saeed Our Tere Hissay Mein Aaya.
Haan Waqt-e-Namaz Aaya Tu Yeh Farz Nibhaya.
Jab Teer Chaley Apna Badan Dhaal Banaya.
Khud Zakhm Sahey Dilbar-e-Zahra Ko Banaya.
Zahra Hoin Razi Aye Ghazi Ke Ghazi.
Seene Se Laga Ke Tujhe Kehte They Namazi.
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Jab Orh Liya Ishq-e-Wilayat Ka Libada.
Aankhon Mein Nazar Aane Laga Tera Iradah.
Yeh Fikar Thi Bas Zindah Rahe Fatima Zadah.
Dushman Ke Galay Kaat Diye So Se Zyada.
Jo Samne Aaya Woh Bach Nahi Paya.
Tu Ne Hi Sitamgaron Se Khaimon Ko Bachaya.
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Aye Azadaro Suno Karb-o-Bala Ka Manzar.
Ran Mein Jis Waqt Zuhair Aaye Mujahid Ban Kar.
Dabdaba Dekh Ke Maqtal Mein Yehi Shoor Utha.
Qain Ka Beta Zuhair Aaya Bahadur Aaya.
Woh Rajaz Tu Ne Parhi Khof Fiza Mein Chaya.
Ghaiz Mein Lashkar-e-Batil Ko Yehi Batlaya.
Tum Kisay Marne Aaye Ho Khuda Se Tu Daro.
Woh Muhammad Ka Nawasa Hai Zara Khof Karo.
Mujh Ko Maloom Hai Shabeer Ki Nusrat Ka Sila.
Hajj Se Aate Hoye Main Rah Mein Jab Unn Se Mila.
Unn Ko Dekha Tu Mujhe Yaad Muhammad Aaye.
Mera Dil Kya Hai Meri Jan Fida Ho Jaye.
Phir Waga Ke Liye Jab Khud Ko Utara Ran Mein.
Maut Tharanay Lagi Kitno Ko Mara Ran Mein.
Ran Mein Ik Shoor Tha ALLAH Re Aisa Hamla.
Ho Baho Lagne Laga Shair Ke Jaisa Hamla.
Hukam Aaya Ke Issay Charon Taraf Se Ghairo.
Iss Se Tanha Na Lara Jaye Ga Mil Kar Maro.
Ik Taraf Hamlay Ko Teyar Kaseer e Shaibi.
Ik Taraf Oss Ka Beta Tha Mohajir Nami.
Mil Ke Dono Ne Jo Talwar Se Mara Haye.
Ran Mein Ghorey Se Bin-e-Qain Zameen Par Aaye.
Al-Garz Khuld Chaley Ran Mein Shahadat Pa Kay.
:JOAN:-o-:ZEESHAN: Kaha Shah Ne Yehi Pas Aa Ke.
Aye Bahadur Aye Shujat Ke Paristar Salam.
Dekh Kartay Hain Tujhe Haider-e-Karar Salam.