Sakina Kahani Suno Lyrics
Siyah Raat Mein Zindan Ky Dar Py Ro Ro Ky
Sakina Kehti Hai Baba Yeh Shab Satati Hai
Judai Ap Ki Us Par Yeh Khak Ka Bistar
Kahin Andhairey Mein Bachon Ko Neend Ati Hai
Yeh Sun Ky Zainab E Mazloom Boli Gham Na Karo
Kahani Kehti Hun Main Ek Suno Sakina Suno
Sakina Kahani Suno
Ek Shahenshah Tha Haye Sakina
Ek Shahenshah Tha Yasrab Mein Raha Karta Tha
Us Ka Ghar Woh Tha Ky Quran Jahan Utra Tha
Dar Py Jibreel Sa Darbaan Raha Karta Tha
Us Ka Aangan Bhi Sitaron Sy Bhara Rehta Tha
Us Ky Darwazey Sy Khali Na Koi Jata Tha
Aasman Us Ki Sakhawat Ki Qasam Khata Tha
Ay Sakina Kahani Suno
Us Ky Baba Ko Dar E Ilm Kaha Jata Tha
Maan Ny Shehzadi E Konain Laqab Paya Tha
Us Ky Baiton Mein Nazar Aks E Nabi Ata Tha
Betion Ko Gul E Pakeeza Kaha Jata Tha
Us Ky Ek Bhai Ki Rag Rag Mein Wafa Rehti Thi
Ek Behan Sath Mein Saye Ki Tarah Rehti Thi
Ay Sakina Kahani Suno
Aik Din Kya Hua Haye Sakina
Aik Din Kya Hua Woh Ghar Sy Safar Par Nikla
Us Ka Sab Kunba Bhi Quran Ki Hifazat Ko Chala
Ashqiya Ny Usy Phir Dasht E Bala Mein Ghaira
Teen Din Tak Usy Pani Bhi Muyassar Na Hua
Ho Gai Aam Har Ek Jor O Jafa Us K Liye
Aur Phir Jang Ka Maidan Saja Us K Liye
Han Sakina Kahani Suno
Us Ky Ek Bety Ky Seeney Mein Sinan Toot Gai
Bhai Ky Hath Katy Teer Laga Mashk Chidi
Lash Pamal Bhateejy Ki Bhi Maqtal Mein Hui
Bey Zaban Qatl Hua Us Ka Churi Us Py Chali
Us Shehanshah Ky Kunby Py Ghareebi Chai
Bujh Gaye Sary Diye Sham E Ghareeban Aai
Han Sakina Kahani Suno
Khaimy Jalny Lagy Nazdeek Sitam Gar Aaye
Us Shehanshah Ki Bachi Ny Tamanchay Khaye
Kaan Zakhmi Huye Khoon Ankhon Sy Tapka Haye
Dhund Baap Ko Maqtal Mein Woh Kaisy Jaye
Jalty Daman Ko Liye Ganj E Shaheedan Mein Gai
Rassi Gardan Mein Bandhi Shaam Ky Zindaan Mein Gai
Han Sakina Kahani Suno
Phir Sakina Ny Kaha Haye Sakina
Phir Sakina Ny Kaha Rehty Hen Wo Log Kahan
Boli Zainab Ky Huye Sab Woh Aseer E Zindaan
Qissa Akhir Hua Neend Ai Na Tum Ko Meri Jaan
Boli Ro Ro Ky Sakina Phuphi Ab Neend Kahan
Tum To Kehti Thi Kahani Suno Neend Ati Hai
Is Kahani Sy Meri Neend Urhi Jati Hai
Han Sakina Kahani Suno
Boli Ro Ro Ky Sakina Yeh Mera Qissa Hai
Is Kahani Ka Shahenshah Mera Baba Hai
Naiza Jis Ky Laga Seeny Mein Mera Bhaiya Hai
Mera Asghar Hai Laeenon Ny Jisy Maara Hai
Bey Rida Tum Ho Phuphi Jaan Meri Jati Hai
Yeh Kahani To Mery Ghar Ki Nazar Aati Hai
Han Sakina Kahani Suno
Jis Ko Seeney Py Shehahnshah Ky Neend Ati Thi
Dasht Mein Haye Chacha Keh Ky Jo Chillati Thi
Jis Ky Kanon Sy Lahu Behta Tha Jo Pyasi Thi
Apny Baba Ki Judai Mein Mari Jati Thi
Us Shahenshah Ki Beti Woh Sakina Main Hun
Jis Ka Dushwar Hua Qaid Mein Jeena Main Hun
Han Sakina Kahani Suno
Khatm Jab Sarwar O Rehan Kahani Yeh Hui
Woh Jo Sunti Thi Kahani Woh Sakina Na Rahi
Thamy Zanjeer Naqahat Sy Uthaye Qaidi
Aik Nanhi Si Lehad Kanpty Hathon Sy Bani
Sar Shahenshah Ka Goudi Mein Lahu Rota Tha
Wa Hussaina Ka Bas Ek Shor Bapa Hota Tha