Baba Main Sakina Lyrics
Baba Baba
Baba Main Sakina
Meri halat zara daikho baba
Baal bikhre mere
piyas se khushk gala
jal gayay khaimay sabhi jal gaya maira kurta
Baliyan cheen gaien kanoun se lahu behta raha
aie baba
Mere Rukhsar they chotay
shimr ka hath bara tha
usne mara jo tamacha
hoa zakmi maira chehra
kia yateemoun pe sitam karta hai koi aisa
apne name mera rakha Sakina Baba
Mujhe koi bhi Sakina nhi kehta baba
ab mujhe kehte hain sab log yateema baba
aie baba
ap ke bad baray zakhm millay hain baba
suno din raat mere kaisay katay hain baba
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x3
Jal gayay khaimay bhi yasbab bhi sab loot liya
jhola besheer ka sajad ka bistar bhi jala
shimr ne kanoun se aye baba kuhar khaich liyay
ang daman main laggi khoon main bhara hai kurta
Mujh ko durroun se tamachoun se hai itna mara
pusht zakhmi hai meri, zakhmi hai chehra sara
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x2
—- Persian Translation —-
Baba main apko apna dukhra sunanay aie houn
ap ke baad mujhay sirf ranjh o alam naseeb hoyay
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x2
Baba Jaan main apki talash main dasht o bayan main gai
wahan main ne ap ko besir daikha, aur apke seene par gir gai
dobara jaisay hi ap ke seene par meri ankh lagi
ek leen ne mujhe is zor se mara ke main neend se chonk kar baidar hoi
usne mere baal khench kar mujhay ap se alag kia
aur us be reham dushman ne mujhay bhi korhay maray
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x3
—- Persian Translation Ended —-
Dhondhne apko main dasht o bayan main gai
ap ki khushbu se main apko pehachan gai
apke seene pe kuch dair ko neend aie mujhay
Shimr ne aisay jagaya ke mairi jaan gai
Khainch kar baal maire ap se churaya baba
jab main roi to mujhay durra lagay baba
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x2
—- Persian Translation —-
Dar Safar main ap ki is ghamgeen bachi ne buhat zakhm se aur buhat dukh jhailay
main bar bar onth ki pusht se neechay giri
har jagah main safar main onth ki pusht se giri
Main ne ap ka name pukara aur faryad lagai
Ap ke baad mujhay dar ba dar ki thokarain khana pareen
ap kahan hain takay apni ankhoun se maira haal daikh sakain
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x3
—- Persian Translation Ended —-
Rah main kia apne daikha nhi yeh manzar
Moo ke bal jab main giri naak se doranay safar
pusht bhi zakhmi thi, chehra bhi hoa phir zakhmi
mairay zakhmoun main chubay garm zameen ke pathar
ap bhi mujhko na pehchanay woh halat thi meri
main wahi beti houn jo seenay pe soti thi kabhi
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x2
Dum maira ghothta tha jab chichti thi har bar rasan
larkhara the kadam chalne na daiti thi thakan
main kabhi panjhoun pe chalti kabhi kanton pe
paoun main chalay they or chaloun main hoti thi chuban
jeetay jee bat yahi baba mujhay maar gai
ek mujrim ki tarhan baba main darbar gai
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x2
yeh sitam daikh ke aye baba main ku maar na gai
apke saar par chari maar kar hasta tha shaki
700 kursi nasheen baithay they khamosh sabhi
hayay sadat ke haq main nhi bola koi
bibiyoun ne mujhay halke main chupaya baba
mujhko zalim ne kaneezi main jo manga baba
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x2
qaid main Mazhar o Farhan Sakina ne kaha
sab ko zindan mujhay zairay zameen kaid kiya
tha wahan itna andhaira ke main ghabrati thi
na phuphi sath na ama theen na bhaiya maira
apka sar jo milla baba mujhay chain milla
ab millay ya na millay mujhko rehai baba
(Baba main Sakina
Baba main Yateema) x3