Chalta Rahay Karwaan Lyrics
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan
Ye Karwan Hai Ahl E Aza Ka
Ye Karwan Hai Karbobala Ka
Sar Pe Alam Hai Shah E Wafa Ka
Ye Silsila Hai Sabr O Riza Ka
Jab Tak Ye Dam Ho, Maula Ka Gham Ho
Gham Ye Na Kam Ho, Har Ankh Nam Ho
Mashk O Alam Ho Pasbaan
Chalta Rahe Ye Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan
Is Karwan Ka Hussain Rehbar
Shamil Hain Is Mein Sheh Ke Bahattar
Jinn O Malak Bhi Chalte Hain Mil Kar
Shamil Hain Hum Bhi Adna Se Nokar
Bazm E Aza Hai Raah E Wafa Hai
Sab Ki Sada Hai Sab Ki Dua Hai
Roshan Rahe Ye Kehkashan
Chalta Rahe Ye Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan
Salam Tum Par Hussain Walon
Ay Azadaro Ay Gham Gusaaro
Ali O Zehra Ke Jaan Nisaro
Ishq E Nabi Ke Roshan Sitaro
Ay Pursa Daro Ay Soagwaro
Ghazi Ke Pyaro Sheh Ke Dulaaro
Tum Par Khuda Ho Meharbaan
Chalta Rahe Ye Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan
Majlis O Matam Ka Silsila Hai
Nabi Ke Ghar Ka Ye Tazkira Hai
Hussainiyat Ka Hami Khuda Hai
Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah
Hum Sab Ke Aaqa Daaman Tumhara
Hussainiyon Ka Sayebaan
Chalta Rahe Ye Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan
Hussain Ka Gham Zinda Rahay Ga
Matam Zamana Karta Rahay Ga
Farsh E Aza To Bichta Rahay Ga
Hussaini Parcham Ooncha Rahay Ga
Ye Azadari Ye Pursa Dari
Ghar Ghar Hai Jari Giriya O Zari
Noha Kunaan Hai Do Jahaan
Chalta Rahe Ye Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan
Kya Shan Ho Gi Iss Karwan Ki
Jab Hon Gay Shamil Imam E Mehdi
Sharf E Ziarat Ho Ga Hamen Bhi
Matam Bhi Ho Ga Majlis Bhi Ho Gi
Hum Den Gay Pursa Karbobala Ka
Har Be Khata Ka Har Be Rida Ka
Maula Bhi Hon Gay Darmiyan