Bhai Shabbir Fi Amanillah Lyrics
Jab Ai Giarah (11) Muharram Mayan E Karb O Bala
Behan Ny Bhai Ky Phailay Huye Lahu Sy Kaha
Ay Shah E Bay Kasan Khuda Hafiz
Ay Mery Bhai Jaan Khuda Hafiz
Lo Chala Karwan Khuda Hafiz
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Zameen Py Bikhry Huye Noor Is Behan Ka Salam
Badan Dareeda O Majboor Is Behan Ka Salam
Chali Hai Tum Sy Bahot Door Is Behan Ka Salam
Misal E Fatima Har Dukh Mein Muskuraun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Salam Umme Abeeha Ky Goud Ky Paalay
Salam Karty Hain Zehra Ky Hath Ky Chaalay
Salam Zulf E Muhammad Sy Khailnay Waly
Parhen Gy Durry To Main Sabr Aazmaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Yeh Gham Nahi Hai Ky Main Sogwar Qaidi Hun
Abu Turab Ki Aur Fatima Ki Beti Hun
Main Is Kalaijy Mein Quwat Ali Ki Rakhti Hun
Yazeed E Waqt Ky Khaibar Ko Main Giraun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Rahy Wafa Ky Bahattar Musafiron Ki Qasam
Lab E Furat Sulagty Huye Gharon Ki Qasam
Sinaan Ki Nok Py Rakhy Huye Saron Ki Qasam
Jalal E Hazrat E Abbas Ban Ky Chaaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Khushi Sy Ahl E Sitam Bandh Len Mery Bazo
Banen Gy Nooh Ka Toofan Ab Mery Aansoo
Na Chup Saky Gi Yeh Khoon E Hussain Ki Khushboo
Main Sar Khuly Huye Darbar E Sham Jaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Nigah Janib E Dariya Uthi To Itna Kaha
Mery Dalair Alamdar Fatah E Dariya
Tujhy Khabar Hai Mery Sar Sy Chin Gai Hai Rida
Tery Alam Ka Pharera Rida Banaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Jo Pahunchi Sham To Bazar Ko Saja Dekha
Kabhi Najaf To Kabhi Sooye Karbala Dekha
Pukari Baba Mera Tum Ny Hosla Dekha
Jahan Bhi Jaun Gi Farsh E Aza Bichaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Salam Umme Abeeha Ky Goud Ky Paaly
Salam Karty Hain Zehra Ky Hath Ky Chaalay
Salam Zulf E Muhammad Sy Khailnay Walay
Parhy Gy Durry To Main Sabr Aazmaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Suna Hai Sarwar O Rehan Khuahar E Shabbir
Ali Ky Lehjy Mein Karti Thi Jis Gharhi Taqreer
Yazeed E Shimr Ky Seeny Py Chalti Thi Shamsheer
Woh Jab Yeh Kehti Thi Waady Ko Main Nibhaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Lo Chal Karwan Khuda Hafiz