Ay Ahle aza ghum ke ye qissa
Jis beti ko keh-tu the nabi Umme Abiha
Ummat ne usse Bad-e-Nabi Khoob Rulaya
Darbar me Makhdooma-e-Alam ko bulaya
Aaj talak roti he dunya, haan bari mazloom he Zehra
Kiya Air-e-Risalat ye Muhammad ko mila he
Us Ghar ko jala dala, Jahan deen pala he
Shehzadi pe Jalta huwa Darwaza Gira he
Aye Momino Sir peeto ye gham sab se bara he
Gurbat e Haider ka khulasa, Haan Bari Mazloom he Zehra
Socho toh musalmano sitam aisa huwa ku
Shehzadi ko darbar me bulwaya gaya ku
Siddiqa-e-Konain ko Jhutlaya gaya ku
Main Jhoot nhi bolti ye kehna para ku
Dil ye tumhara bhi kahay ga, haan bari mazloom he Zehra
Tareekh me milta hai qayamat ka ye manzar
Jab Ghusl-o-Kafan dene lage Zehra ko Haider
Jis Waqt nazar aya unhe pehlu Shikasta
Ek Check Uthi Zor se rone lage Maula
Nauha he ye sher-e-Khuda ka, Haan bari mazloom he Zehra
Is ghum ke tasawwur se laraz-ta he mera dil
jo log muslaman the sab ho gaya batil
Naam unke tabarre me kiya karta hum shamil
Mohsin ke bhi qatil hain woh Zehra ke bhi Qatil
Hashr talak me toh kahunga, Haan Bari Mazloom he Zehra
Baad-e-Paigambar-e-Islam raha kuch bhi nhi
Us ki taqdeer me matam ke siwa kuch bhi nhi
Ma Siwa Dard ke, daman me raha kuch bhi nhi
Haye ku binte-Nabi ye sitam sehti rahi
Jab ke darwaza gira, keel baazu me chubi
Silsila barhta gaya, bas gayi Karbobala
Chal Gayi Shah pe Churi aa gayi sham-e-Jafa
Ek roz me Zehra ka bhara ghar huwa barbad
Mardon me faqat zinda bache Baqar-o-Sajad
Sab qaidi bane sham chale, mai’le faryad
Darbar me Zalim ke gayi Zainab-e-Nashad
Kethi rahi Saaniye Zehra, Haan bari Mazloom he Zehra
Mismaar Baqayyah me huwa marqad-e-Zehra
Is Gham me Likha Marhar-o-Mesum ne ye Nauha
Ab Baarwey Sarkar banayenge woh roza
Phir hoga wahan dushman-e-Zehra se pe Tabarra
Goonji faza’on me ye Noha, haan bari mazloom he Zehra