Reciter: Ashraf Abbas
wo teen din ki pyaas wo tashnalabon ki shaam
apne gharon se door wo un be-gharon ki shaam
bewaon ki yateemon ki aur qaidiyon ki shaam
durro ki taaziyano ki aur khanjaro ki shaam
qaimo ke ird gird wo laashe azeezo ke
sehra e be-amaan may wo khastatano ki shaam
jalte huwe qayaam sisakte huwe wujood
aahon ki bekasi ki ghuti sisikyon ki shaam
besaaya aasman wo maqtal ki garm rayth
aur karbala ke dasht may un besaro ki shaam
ab kaun hai jo aake bachaye qayaam ko
phaili hai saare dasht may ab dushmano ki shaam
wo gyarveen ke chand ki afsurda roshni
baalo se moo chupaye wo shehzadiyo ki shaam