Reciter and Shayar: Unknown
wo shaam ki musibat zainab ke dil se poocho
darbaar ki wo aafat zainab ke dil se poocho
darbariyon ka majma zainab ke dil se poocho
chaadar ka cheen jaana zainab ke dil se poocho
mushkil kusha ki beti rassi may baandhe jaaye
wo baazuon ka dukhna zainab ke dil se poocho
bachon ka bilbilaana pyason ka wo tadapna
bhai ka yaad aana zainab ke dil se poocho
bachi wo sehmi sehmi aur haye wo yateemi
us par tamaachay khaana zainab ke dil se poocho
pao-on may jiske chaalay wo tauq ko sambhale
abid ka haaye girna zainab ke dil se poocho
darbaar ki musibath bazaar ki aziyath
zindaan may qaid rehna zainab ke dil se poocho
wo raat ka andhera bachi ko yaad karke
baano ka wo tadapna zainab ke dil se poocho
bhai ki wo wasiyath amma ki aahozaari
baba ka yaad aana zainab ke dil se poocho