Ay Paalne Wale – Salam

Shayar: Daanish
Reciter: Syed Zargham Abbas


ay paalne wale ay paalne wale
ay paalne wale mujhe baba se miladay

jab baba sakina ke na maidaan se lautay
us waqt sakina ne kaha dasht may rokay
hai koi jo baba ko mere aaj bachaalay
ay paalne wale mujhe baba se miladay

dinbhar meri aankhon ne yahi dekha hai manzar
jo bhi gaya maidaan may aaya na palatkar
baba hai idhar tanha udhar shaam ka lashkar
ay paalne wale mujhe baba se miladay

din dhalgaya raat aagayi aur chaaya andhera
har dil may hai bas zulm-o-jafa khauf ka saaya
kya honay ko hai yeh soch ke dil darta hai mera
a paalne wale mujhe baba se miladay

paani jo gaye lene chacha jaan hamaray
neendh aagayi unko bhi taraai ke kinare
pardes may jee paaungi mai kiske sahare
ay paalne wale mujhe baba se miladay

seene pe mujhe baba ke chain aata hai sokar
is ban may unhay haaye kahan dhoondoo mai jaakar
bin baap ke ab neendh mujhe aayegi kyon kar
ay paalne wale mujhe baba se miladay

ek baar mere baba mujhe aake pukaray
aagosh may ay kaash mujhe aake sulaaday
ab lamhon may sab dard unhay apna bataday
ay paalne wale mujhe baba se miladay

daanish suye-maidaan hi takti thi sakina
baba ki judaai may tadapti thi sakina
bas haaton ko phailake yeh kehti sakina
ay paalne wale mujhe baba se miladay

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!