Salam Ullah Lyrics
ya ali ya ali ya ali…
salaam ullah ala ahbabe kah ya ali
asadullah ali, waliullah ali, asadullah ali, waliullah ali
ya hyder ya hyder ya hyder…
jisko allah rakhe dost wo insan ali
wajhullah ali rab ki hai pehchan ali
hai lisanullah ali natiq e quran ali
ay mere murshid o aaqa mere imaan ali
barzaq o qabr may mehshar may nigehban ali
door qadmo se na rakhna mujhe ek aan ali
tujse jud jaunga maula to sawar jaunga
mai tere ishq may dooba to ubhar jaunga
salaam ullah ala…
asadullah ali…
ya hyder…
mere sarkar hussain ibne ali ke baba
surq parcham ke nigehdaar jari ke baba
gyara masoomo ke sardar sabhi ke baba
qatle mohsin ke azadaar kali ke baba
bibi kulsooom ke zainab ke misaali baba
qayame aale mohammed ke jalaai baba
salaam ullah ala…
asadullah ali…
ya hyder…
dushmane hyder e karrar khuda ka dushman
dushmane rab ka nabi se nahi koi bandhan
ibne marjaan ho ya muljim ho ya shimre jaushan
arsh aur farsh pe dozhak ka yehi hai indhan
labe quran se in logon pe laanat utri
inki naslon may ali se na mohabbat utri
lanatullah ala ada-eka ya ali
asadullah ali…
ya hyder…
aalame ishq may yakta hai muhibbane ali
buzar o qambar o salman gadayane ali
dostdaarane khuda saare rafeeqane ali
hadh to ye hai ke khuda khud hai sana qane ali
laal o jibreel nazar aate hai darbane ali
shahiyan baat-te phirte hai faqeerane ali
salaam ullah ala…
asadullah ali…
ya hyder…
char gham aise hai jinpar tha ali ka girya
pehla gham hazrate hamza ka kaleja chidna
doosra gham abu talib ka juda ho jaana
teesra gham tha bada rehlate mehboobe khuda
chohta gham tha ghame zehra jo lehad tak pahuncha
dushmani hydare karaar ki roke na ruki
badr ki aag thi jo karbobala tak pahunchi
lanatullah ala ada-eka ya ali
asadullah ali…
ya hyder…
karbala kya hai charaghe sare aywane ali
karbala kya hai bajjuz saayaye damane ali
karbala kya hai sajaya hua maidane ali
karbala kya hai azakhana armaane ali
karbala kya hai azeezane ali ki mehnat
karbala hogayi ehbaabe ali ki jannat
salaam ullah ala…
asadullah ali…
ya hyder…
maqsade ishq e ali sarwar o rehan tha kya
aayi ye masjide koofa ki fizaon se sada
ishq kya ishq tha ma bain e khuda o banda
tohfa e maut jo mashooq se aashiq ko mila
kamiyabi ka ye andaz niraala dekha
badke aashoq ne kaha fuzto be rabbil kaaba
salaam ullah ala…
asadullah ali…
ya hyder…