Meri sakina Lyrics | Nadeem Sarwar 2007

Meri sakina Lyrics

Meri sakina is tarha na rona

(2x) Tum jao kahan Allah jane maqtal rahe kis hal main hum

Ab khuwab main baba ainga chahay sham ka wo zinda howe

Meri sakina is tarha na rona

Hum jate hain hain milne baba se

Ab lot ke hum ko ana nahi

Kuch der lipat ja seenay se

Phir bap ka seena milna nahi

(2x) Sojana jahan phoppiyan keh dain

Chahay sham ka wo zinda howay

Jane de mujhe maidan ki taraf

Dena ye tujhe qurbani hai

Rehwar ke meray paoun na parh

Meri bachi tu saidani hai

Jeena hai tujhe zehra ki tarah

Chahay sham ka wo zinda howe

Meri sakina is tarah na rona

Aa ponch le ansoo ankhon se

Tu dekhle chehra  baba ka

Kal ho sakta hai ana sake

Pehchan main chehra baba ka

Hum sath tera na chorain ga chahay sham

Ka wo zinda howe

Meri sakina is tarha na rona

Abbas ka dil akbar ki behan

Jis waqat bandhe gardan main rasan

Tum baba baba mat kerna

Tarapey ga mera be goro kafan

(2x) Asgher ki tarah se chup rehna

Chahay sham ka wo zinda howe

Dekha he rehan o sarwar ne

Khud sham main ja ker ye manzar

Sailab he pursaa Daroon ka

Masroofe  buka ta had e nazar

He sara elaka bibi ka

Chahay sham ka wo zinda howa

Meri sakina is tarah na rona

Meri bachi na is tarah na rona

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!