Abalfazl Lyrics Nadeem Sarwar 2015

Abalfazl Nadeem Sarwar 2015 – Nadeem Sarwar Lyrics

Noha Khwan Nadeem Sarwar

abal fazl e ba-wafa alamdare lashkaram
mahe hashmi nasab ameere dilawaram

khuda ke deen ka paasban shuja’aton ka aasman
jalal tera allama abal fazl
hussainiyat ka tarjuma ye ghamzadon ka saayeban
alam ba dosh rehnuma abal fazl
abal fazl e bawafa…

ye murtaza ka gul badan wiqare hyderi chaman
shuja’aton ki anjuman abal fazl
ali misaal tayghe zan wohi sukhan wohi chalan
ali e dashte karbala abal fazl
abal fazl e bawafa…

ameer e sabr ka aqi qaraar e jaan e zainabi
amme sakina hai yehi abal fazl
tujhko shahadat jo mili bhoolegi dunya na kabhi
tera alam ooncha raha abal fazl
abal fazl e bawafa…

ay noor e dil maara qamar ay roshni maara sahar
ba waqt e gham maara sipar
tere hai ye sab behrobar tu hi dua’on may asar
tere sabab hubbe khatar abal fazl
abal fazl e bawafa…

ghulam e ibne murtaza rehan o sarwar e aza
hamara markaz e wafa abal fazl
dua e binte fatema jahan alam ye jab utha
falak pukara marhaba abal fazl
abal fazl e bawafa…

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!