Abad Wallah Lyrics
Hussain
Imam Hussain Imam Hussain
3 Shaban Sadaye Konain Marhaba Salle Alaa Ho Gaya Zahoor E Maula Hussain
Aghosh E Fatima Sy Hussain Aghosh E Risalat Mein Aaye
Hussain Dekh Ky Nana Ko Muskuraty Hain
Magar Yeh Kya Hua
Chashme Rasool E Akram Sy Khushi Ky Waqt Bhi Aanso Tapakty Jaty Hain
Sawal Kar Diya Zehra Ny Ay Mery Baba Udaas Kiun Huye
Kiun Sogwar Hai Chehra
Kaha Rasool Ny Zehra
Main Khush Hua Yeh Tera Laal Mery Deen Ko Bachaye Ga
Main Roya Is Liye Zehra
Watan Sy Door Akela, Pyasa, Ghareebi Mein Mara Jaye Ga
Aur Us Qayamat Mein Na Main, Na Tum, Na Ali Hon Gy, Na Hassan Ho Ga
Na Koi Pyara Na Koi Apna Ho Ga
Kanaare Nehr Ky Bay Gor O Bay Kafan Ho Ga
Tarhap Ky Poocha Nabi Sy Hussain Ki Maan Ny
To Mery Baba Bhala Is Py Kon Roye Ga
Kaha Rasool Ny Zehra
Na Fikr Kar Beti
Khuda Ki Samt Sy Mojood Aik Qabeela Hai
Jo Is Ko Roye Ga Ta Hashr
Us Ka Waada Hai Jo Na Hussain Ko Bhooly Ga
Na Hussain Us Ko Bhooly Ga
Sare Jahan Sy Un Ki Musalsal Sada Ho Gi
Hussain Hussain Hussain Hussain…
Wada Hai Hamara Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina
Us Ny Hum Ko Na Bhulaya
Hum Ny Us Ko Na Bhulaya
Hussainun Hubhu Yamhul Khataya
Howan Noor Ul Lazi Yohdi Al Baraaya
Minho Laa Badr Ul Huda
Lan Ninsa Toolil Madaa
Abad Wallah Ya Zahra Maninsa Hussaina
Hallah Hallah Ya Waleena
Ahna Khidamak A Jeena
Waada Hai Yeh Wallah
Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina
Qasam Allah Ki Woh Jis Ny Hamen Khalq Kiya
Aur Gham E Karbobala K Liye Makhsoos Kiya
Hum Wohi Log Hain Wallah Dua E Zahra
Us Ny Hal Min Jo Kaha Nasireen Yansurna
Hum Ny Labbaik Kaha
Us Ny Hum Ko Na Bhulaya
Hum Ny Us Ko Na Bhulaya
Abad Wallah Ya Zahra Maninsa Hussaina
Hallah Hallah Ya Waleena
Ahna Khidamak A Jeena
Waada Hai Yeh Wallah
Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina
Azam Allah O Laka Al Ajra Ali
Bil Museebah Ya Haider Ya Ali
Ya Ali Ap Ky Har Ranj O Masaib Ki Qasam
Ap Ky Gham Ki Hai Maqrooz Yeh Nasl E Adam
Choda Sadion Sy Musalsal Hai Aza O Matam
Go Ky Har Chand Huye Hath Qalam Paon Qalam
Zaayer E Karbobala Ky Na Ruky Phir Bhi Qadam
Azam Allah O Laka Al Ajra Ali
Bil Museebah Ya Haider Ya Ali
Lo Qata’oo Arjulna Wal Yadain
Nateek Zahfan Sayedi Ya Hussain
Hallah Hallah Ya Waleena
Ahna Khidamak A Jeena
Waada Hai Hamara
Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina
Aik Wada Hai Jo Shabbir Sy Hum Sab Ny Kiya
Aik Wada Hai Jo Shabbir Ny Bachpan Mein Liya
Apna Maan Baap Sy, Nana Sy Baradar Sy Kaha
Aap Sab Mery Azadaron Ko Kya Den Gy Sila
Boly Sarkar E Muhammad Main Shafa’at Dun Ga
Boly Haider Ky Main Kosar Ki Basharat Dun Ga
Aur Hasan Boly Main Sardar Hun Jannat Dun Ga
Boli Zehra Tera Wada Hai Shahadat Dun Ga
Main Bhi Jannat Mein Na Rakhun Gi Qadam Mery Hussain
Jab Talak Khuld Mein Jayen Na Azadar E Hussain
Abad Wallah Ya Zahra Maninsa Hussaina
Hallah Hallah Ya Waleena
Ahna Khidamak A Jeena
Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain…
Waada Hai Hamara
Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina
Ati Hai Fatima Zehra Ki Sada
Ay Azadaro Suno
Ay Azadaro Na Jab Tum Bhooly
Bhool Jaye Tumhen Zahra Kaisy
Mujh Py Kya Kya Na Masaib Tooty
Mera Do Bar Jala Ghar Logo
Mery Pehloo Py Gira Dar Logo
Dagh E Mohsin Hai Jigar Par Logo
Mujh Ko Darbar Bula Kar Logo
Kata Hai Qalb E Payambar Logo
Nahi Bhoolen Ga Ya Zahra
Na Main Abbas E Alamdar Ky Bazoo Bhooli
Na Main Zainab Ka Tarhapna Kisi Pehloo Bhooli
Gard Alood Sakina Ky Na Gaisoo Bhooli
Na Hi Sajjad Ky Khoon Rang Woh Aanso Bhooli
Nahi Bhoolen Ga Ye Zahra
Apny Bachy Ky Rafeeqon Ko Bicharhta Dekha
Khak Py Aon O Muhammad Ko Tarhapta Dekha
Main Ny Tukrhy Huye Qasim Ka Janaza Dekha
Airhian Khak Py Akbar Ko Ragharta Dekha
Mainy Asghar Ka Gala Teer Mein Uljha Dekha
Jis Gharhi Laal Mera Zeen Sy Raiti Py Gira
Tera Zarbon Sy Mery Samny Sar Us Ka Kata
Hussain Hussain
Haye Phir Sham E Ghareeban Ny Mujhy Loot Liya
Woh Rida Meri Thi Aada Ny Jisy Loot Liya
Main Na Bhoolon Gi Woh Bazaar
Haye Woh Sham Ka Darbar
Nahi Bhoolon Gi Woh Zindaan
Haye Mera Abid E Beemar
Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy
Zahra Nahi Bhoolen Gy
Shabbir Ki Ghurbat Ko
Naizey Py Tilawat Ko
Zahra Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy
Abbas Ko, Akbar Ko
Qasim, Ali Asghar Ko
Zahra Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy
Jalty Huye Khaimon Ko
Chinti Hui Chadar Ko
Zahra Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy
Zainab Ki Shuja’at Ko
Abid Ki Qayadat Ko
Zahra Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy
Abad Wallah Ya Zahra Maninsa Hussaina