Teri Zahra Pe Musibat – Mir Hasan Mir Noha 2013

Teri Zahra Pe Musibat

 

Baba Mere Baba ….. (4)

Baba Mere Baba…..
Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai….

Hai Baba …..teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Kaise Darwaza Hatau, Kaise Mohsin (as) Ko Bachaun
Saans Seene Me Ruki Hai

Hai Baba …..teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai


Hath Me Jiske Mera Hath Diya Tha Tumne
Kehke Mankunto Jise Maula Kaha Tha Tumne
Maine Har Mod Pe  Baba Sath Uska Hai Nbhay
Haan Mera Juram Yahai Hai…..

Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Hai Baba …..teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Teri Ummat Ne Bana Di Hai Yeh Haalath Baba
Koi Pasli Bhi Nahi Meri Salamat  Baba
Saans Leti Hum Main Jis Dam, Ghut Ne Lagta Hai Mera Dam
Sirf Marne Ki Kami Hai…..

Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Hai Baba …..teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Kabhi Darbar Me Peshi Ko Bulate Hai Humain
Kabhi Darwaze Pe Aa Aake Satate Hai Humain
Kya Khata Ham Se Hui Hai…..

Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Hai Baba …..teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Sharm Aati Hai Bhala Tum Ko Bataun Kaise
Yeh Tamachon Ke Nisha Tum Ko Dikha Un Kaise
Tum Na Pehchan Sakon Ge Dekh Kar Mujhse Kahon Ge
Kya Meri Zehra (sa) Yehi Hai…..

Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Hai Baba …..teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Yeh Aziat Yeh Khanoshi Nahi Dekhi Jaati
Mujhse Tanahi Ali (as) Ki Nahi Dekhi Jati
Tera Paygam Suna Ne, Haq Wilayat Ka Batane
Zehra (sa) Ghar Ghar Gai Hai…..

Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Hai Baba …..teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Aap Ke Shog Me Tarikh Na Dekha Gaya Ghar
Aag Darwaze Pe Ummat Ne Laga Di Aakar
Baba Jaan Baad Tumhare Dekhiye Ghar Me Hamare 
Raushni Kaise Hui Hai…..

Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Hai Baba …..teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Kabre Zehra (sa) Se Takalum Yeh Sada Aati Hai 
Kitni Sadion Se Mere Kabr Pe Veerani Hai
Phool Turbat Pe Chadha Ne Ke Diya Laa Ke Jala Ne
Kya Medine Me Koi Hai

Teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Hai Baba …..teri Zehra (sa) Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!