Karbobala Naseeb Se Jaana Naseeb Ho
Uthay hain haath Khudaya isi dua ke liye (x2).
Naseeb ho safar-e-ishq Karbala ke liye.
Karbala Karbala (x3)
Karbobala naseeb se jaana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Phir laut kar wahan se (x2) na aana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Aankhoan ko jab bhi ashk bahaana naseeb ho (x2).
Aal-e-Nabi ke gham ka bahaana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Aisa dar-e-Hussain pe sajda ho aakhri (x2).
Phir mujh ko apna sar na uthaana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Parvardigaar thokarein dar dar ki kab talak (x2).
Ab mustakil Najaf mein thikaana naseeb ho.
Phir laut kar wahan se na aana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Jaisa mila naseeb se Umm-ul-Baneen ko (x2).
Ab kya kisi ko aisa gharaana naseeb ho
Karbobala naseeb se… (x2)
Mehshar ye aarzoo hai ke be ghusl-o-be kafan (x2).
Karbobala ki teh mein samaana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Aansoo giray thay baali Sakina ke jis jagah (x2).
Apna wahan pe khoon bahaana naseeb ho.
Phir laut kar wahan se na aana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Yeh keh ke shaah niklay mazaar-e-rasool se (x2).
Pardes main kafan mujhe Naana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Asghar hain meray haath bandhay kehti thi Rubab (x2).
Kaisay tumhain galay se lagaana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Mashqeeza le ke roza-e-Abbas ke kareeb (x2).
Sab zaairo’n ko paani pilaana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Ik sar bureeda laashay ne bachi ko di dua (x2).
Zindaan se tujh ko laut ke aana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Nazdeek-e-khaima gaah Sakina ki yaad main (x2).
Shaam-e-ghareeban shamma jalaana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Sajjad shaam tak yehi kartay rahay dua (x2).
Chaadar mujhe phuppi ko udhaana naseeb ho.
Karbobala naseeb se… (x2)
Aye kaash phir se Mir Takallum faraat par (x2).
Mehdi ko sheh ka noha sunaana naseeb ho.
Phir laut kar wahan se na aana naseeb ho.
Karbobala naseeb se jaana naseeb ho
Karbobala naseeb se jaana naseeb ho