Sakina Sham Ke Zindaan Main Sogayi Baba Lyrics | Mesum Abbas 2022

Sakina Sham Ke Zindaan Main Sogayi Baba Lyrics

Tamache Shimr se kha-ti thi, jab bhi ro-ti thi
Andheri raat me uth uth ke, bas ye keh-ti thi
Meri aseeri pe ro-ti he, bekasi Baba
Sakina Sham Ke Zindaan Main Sogayi Baba

Ay Baba aap ke seene ki, us ko aadat thi
Zameen pe sone ki koshish me, jaag-ti hi rahi
Teri yateema ko neendh aayi, na kabhi Baba
Sakina Sham Ke Zindaan Main Sogayi Baba

Phupi se keh-ti thi ro ro ke, ye batado phupi
Sitam ki qayd se ghar apne, ja sakenge kabhi
Usse rihai na mar kar bhi, mil saki Baba
Sakina Sham Ke Zindaan Main Sogayi Baba

Banayi aap ne maqtal me, qabr Asghar ki
Lehed banayi he zindaan me, me ne muztar ki
Karhi jo fatiha roti-thi, hathkari Baba
Sakina Sham Ke Zindaan Main Sogayi Baba

Kafan lahu bhara kurta hi, he Sakina ka
Diya ghusl bhi ashkoN se, ay mere Baba
Kafan bhi rota tha aur me bhi, qabr bhi Baba
Sakina Sham Ke Zindaan Main Sogayi Baba

Nahi zara sa ujala bhi, us ki turbat par
Andhere karne lage nauha, us ki turbat par
Kare ga kaun yahaN aa ke, roshini Baba
Sakina Sham Ke Zindaan Main Sogayi Baba

Bayan kayse kareN ye, Mesum o Mazhar
Jo bayn Baba se karte the, Abid e Muztar
Sakina Shaam ke zindaan me, so gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindaan Main Sogayi Baba

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!