Safar E Ishq Lyrics | Mesum Abbas 2018

Safar E Ishq Lyrics

Lo agaya bulawa
Ya Hussain….(2)
Sultan e Karbala ka
Ya Hussain…(2)
Jaaga hain muqaddar phir
Ya Hussain…(2)
Mehmaan e Karbala ka
Ya Hussain ….(2)

Jaldi qadam badhao, Aye Aashiqan e Maula
Hain muntazir tumhari, Karbobala me Zahra
Karbobala me Zahra ….(2)
Sarhad pe Karbala ki, Abbas bhi khade hain
Thaame hue alam ko, tum se yeh keh rahe hain
Tum se yeh keh rahe hain…..(2)

Khushamdid, Khushamdid, Aye Zaaeron Khushamdid…(2)

Safar e Ishq e Hussain….(4)

Woh ek saltanat e ishq, naam Karbobala
Azal se parcham e Abbas hain nishaan jiska
Jaha pe naqsh hain Maula Hussain ka sajda
Waha pe karne ko sajda..(2)
Bula rahi hain Karbala, Bula rahe Hain Hussain

Safar e ishqe Hussain….(4)
(Khushamdid, khushamdid, aye zaaeron khushamdid)….

Baghair izn yaha koi aa nahi sakta
Ho khush naseeb ke tum aa rahe ho Karbobala
Jo zaaereen me shaamil tumhara naam huwa
Karona shukr ka sajda….(2)
Bula rahi hain Karbala, Bula rahe hain Hussain

Safar e ishq e Hussain….(4)

Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid…..

Safar naseeb nahi sabko yeh Khuda ki qasam
Hussain rakhte hain khud apne zaaeron ka bharam
Agar magar nahi socho badhao apne qadam
Zara bhi der na karna….(2)
Bula rahi hain Karbala, bula rahe hain Hussain

Safar e ishq e Hussain…(4)

Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid..

Yeh Karbala ka safar, bakhuda mawaddat hain
Ajeeb tarz e mohabbat hain yeh ibadat hain
Har ek munkir e Shabbir se baghawat hain
Na rok payegi duniya….(2)
Bula rahi hain Karbala, Bula rahe hain Hussain

Safar e ishq e Hussain …(4)

Khushamdid khushamdid, Aye zaaeron khushsamdid.….

Yeh Karbala hi batayegi imtehaan hain kya
Najaf se Karbobala ke safar ki shaan hain kya
Sabhi hain ek se, boodhe hain, aur jawaan hain kya
Har ek lab pe hain naara…(2)
Bula rahi hain Karbala, bula rahe hain Hussain

Safar e ishq Hussain….(4)

Khushamdid khushamdid, aye zaeeron khushamdid….

Habib ne hain yeh zauja se apni farmaya
Bulawa aisa kisiko kabhi nahi aya
Hussain ne mujhe khat bhejkar hain bulwaya
Mujhe hain farz nibhana….(2)
Bula rahi hain Karbala, bula rahe hain Hussain

Safar e ishq e Hussain….(4)

Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid…..

Rihayi Shaam ke zindaan se haram ko mili
Tadap ke reh gayi us waqt haye Binte Ali
Larazte lehje me Abid ne jab sada hain yeh di
Khudara utho Sakina….(2)
Bula rahi hain Karbala, Bula rahe hain Hussain

Safar e ishq e Hussain…(4)

Khushamdid khushamdid, aye zaeeron khushamdid..

Haa is zameen pe Firdausi silsile hoge
Bashar ki shakl Malaaek ke qaaflein hoge
Jo zaaereen ki khidmat ke waaste hoge
Naseeb dekho tumhara..(2)
Bula rahi hain Karbala, Bula rahe hain Hussain

Safar e Ishq e Hussain ……(4)

Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid…

Itni aasani se tum log karoge yeh safar
Par suno Aale Mohammad ke safar Ka manzar
Nahi pani ki sabeelein thi, na saya, na shajar
Shaah ke kunbe pe baraste rahein har dam patthar
Uski behnon ka tha rassi me gala
Na tawan beta hain kaanton pe chala
Paani beti ko mayassar na hua
Khud woh naize pe tadapta hi raha…(2)

Dekho par Mesum o Salwar kareemi yeh zara
Apne zawwaron ko deta hain woh ab bhi yeh sada

Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid….

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!