Pata He kis Tarah Beta Jawaan Hota Hai Lyrics
Pata He kis Tarah Beta Jawaan Hota Hai
Tadpakey laasha e Akbar pey boley sibtey nabi
Hamaarey noor e nazar ko lagii nazar kiski
Sitam gareeb musaafir pey ye mazeed kiya
Bataao kis ney merey sheyr ko shaheed kiyaa
Sinaa kalejey pey akbar ke maarney waaley (2)
Pata He kis Tarah Beta Jawaan Hota Hai
Sina kalejey….
Pata He kis Tarah Beta Jawaan Hota Hai (2)
badey hi naaz se paala hai ye jawaan pisar
Ye merey ghar ka ujaala ye mera noor e nazar
Ye mera hasliyo waala riyaazato ka Samar (2)
Lahoo mey dooba huwa eadiya ragadtaa hai
Sina kalejey….
Pata He kis Tarah Beta Jawaan Hota Hai (2)
ye meri godh mey quraan ki tarha rehta tha
Ye noor bankey meri aankh mey chamaktaa tha
Ye saaya bankey merey saath saath chalta tha (2)
Meri sadaa pey na koi jawaab deta hai
Sina kalejey….
Pata He kis Tarah Beta Jawaan Hota Hai (2)
ali ki betiya jhoola isey jhulaati thi
Hijaab e noor mey Lori isey sunaati thi
Janaab e umme banee iskey naaz uthaati thi (2)
Aur ab Husain yaha iski laash uthaata hai
Sina kalejey….
Pata He kis Tarah Beta Jawaan Hota Hai (2)
jo bachpaney mey pakadkey ye mera haath chalaa
To haath uthaakey isey dii thi zindaghi ki dua
Qabar na thii ke mujhey ye Bhi dekhna hoga (2)
Ke aaj haatho pey akbar tera janaaza hai
Sina kalejey….
Pata He kis Tarah Beta Jawaan Hota Hai (2)
bataao tummey koi ho Jo saahib e aulaad
Jawaan laal ho jismey tha Wo hi ghar aabaad
Sitamgaro ney kiya haaye mera ghar barbaad (2)
Hawaaye zulm se ghar ka charaag bujhtaa hai
Sina kalejey….
Pata He kis Tarah Beta Jawaan Hota Hai. (2)
hamaarey seeney se nikla hai dil lahoo rotaa
Aur apney qaimey se niklii hai zainab e kubra
Najaf se nikley ali aur madeeney se nana (2)
Jab iskey seeney se barchii ka phal nikaala hai
Sina kalejey….
Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai (2)
salaam e aaqri mujhko kiyaa tha jab isney
Na pooch humsey ke aaye yaha pey hum kaisey
Kabhi uthey kabhi maqtal ki qaak pey hai girey (2)
Zayeef baap se ye ghum kahaa se uth’taa hai
Sina kalejey….
Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai (2)
huwa hai nauha Jo MESUM Teri zabaa se adaa
Ye josh e girya o maatam bataa rahaa hai raza
Ke nauha sunney yaha aagaye merey MAULA (2)
Har ek zabaan pey akbar tera hi nauha hai
Sina kalejey….
Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai (2)