Azadari Rahegi Lyrics | Mesum Abbas 2022

Azadari Rahegi Lyrics

Imaa Ki Hararat Hai Azadariye Hussain
Islam Ki Hurmat Hai Azadariye Hussain
Insaa Ki Zarurat Hai Azadariye Hussain
Zainab Ki Amanat Hai Azadariye Hussain

Kadam Badhate Raho Hussain Hussain
Alam Uthate Raho Hussain Hussain
Charag E Ashk E Aza Yuhi Jalae Raho
Na Andhiyo Se Daro Na Zalimo Se Daro
Na Hadso Se Daro Na Mushkilo Se Daro
Alam Saja Ke Kaho Farshe Ghum Bich Ke Kaho
Ali Ke Laal Se Ahd E Wafa Nibha Ke Kaho

Tere Gharane Se Wafadari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi

Hum To Azal Se Hi Azadar Hai Maula
Majlis O Matam Ke Talabgar Hai Maula
Aankh Jo Duniya Mai Khuli Dekha Ye Manzar
Ghar Mai Azakhana Sajati Hui Madar
Wirsa Ye Mila Hussain, Ghum Sath Raha Hussain
Ye Askh E Aza Hussain, Matam Ki Sada Hussain
Hashr Talak Ab Ye Talabgari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi
Tere Gharane Se Wafadari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi

Rahon Mein Juloso Ke Sabelain Bhi Lagain
Pani Bhi Azadaro Ko Sharbat Bhi Pilain
Har Saal Teri Hazari Duniya Ko Khilain
Bachho Ko Teri Yaad Mai Saqqa Bhi Banain
Khidmate Aza Hussain Hai Farz Bada Hussain
Hai Azme Wafa Hussain, Ho Sath Tera Hussain
Har Saal Muharam Ki Ye Tyari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi
Tere Gharane Se Wafadari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi

Hussain Hussain Ya Maula

Ye Ahle Aza Shan E Aza Aise Badhaein
Har Waqt Azadari Hai Bar Waqt Namazein
Mumkin Hi Nahi Sajde Jab Sar Ko Jhukaein
Aye Maula Hume Sajde Tere Yaad Na Aein
Matam Bhi Tera Hussain Sajda Bhi Tera Hussain
Kaaba Bhi Tera Hussain Qibla Bhi Tera Hussain
Saath Namazon Ke Azadari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi
Tere Gharane Se Wafadari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi

Tumne Wilayat Ka Jab Ikrar Kiya Tha
Binte Muhammad Se Kiya Tha Yahi Wada
Apne Sabhi Gham Ko Bhula Denge Magar Hum
Bhul Nahi Sakte Kabhi Majlis O Matam
Is Dil Ki Sada Hussain Dhadkan Ne Kaha Hussain
Seero Me Raha Hussain, Saason Me Basa Hussain
Saason Me Har Dum Ye Sada Jari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi

Hussain Hussain Ya Maula

Tumne Jo Bichaya Hai Ye Farshe Aza Kya Hai
Sajjad Ki Khwahish Hai Zainab Ki Tamanna Hai
Ye Ashk E Aza Kya Hai Bakshish Ka Wasila Hai
Rumaal Me Zehra Ke Zeenat Yahi Banta Hai
Aankhon Se Ye Nehre Aza Jari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi

Hussain Hussain Ya Maula

Tehzeb E Azadari Sikhate Hain Azadar
Bacho Ko Alamdari Sikhate Hain Azadar
Mimbar Se Wafadari Sikhate Hain Azadar
Behno Ko Hayadari Sikhate Hain Azadar
Naslon Mein Chale Hussain, Ye Wirs Tere Hussain
Humne Jo Sune Hussain, Humne Jo Diye Hussain
Ab Ye Dilo Par Teri Sardari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi

Hussain Hussain Ya Maula

Maula Ye Taboot O Alam Jhula Amari
Pani Ki Sabelein Bhi Nishani Hai Tumhari
Dul Dul Ka Juluson Me Safar Ab Bhi Hai Jari
Kuch Or Nahi Bas Yahi Daulat Hai Hamari
Nisbat Se Teri Hussain, Qismat Ye Mili Hussain
Bhule Na Kabhi Hussain, Ye Seena Zani Hussain
Hum Ne Alam Paya Alamdari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi
Tere Gharane Se Wafadari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi

Meesam O Mazhar To Yahi Kehte Rahenge
Maula Tere Gham Ke Sabab Jeete Rahenge
Nauhain Teri Yaad Me Hum Padhte Rahenge
Aankh Se Ye Ashke Aza Behte Rahenge
Bas Ye Hai Dua Hussain, Aae Jo Qaza Hussain
Ho Lab Pe Saja Hussain, Ek Naam Tera Hussain
Jaan Sy Badhkar Ye Hume Pyari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi

Jaan Hussain Jaan Hussain Jaan Hussain

Tu Sabka Nigehban, Hussain Jaan Hussain Jaan
Tu Natik E Quran, Hussain Jaan Hussain Jaan
Tu Deen Ki Pehchan, Hussain Jaan Hussain Jaan
Zehra Ka Dil O Jaan, Hussain Jaan Hussain Jaan
Jaan Hussain Jaan Hussain Jaan Hussain

Tu Sabr Ki Deewar, Hussain Jaan Hussain Jaan
Tu Zabt Ki Talwar, Hussain Jaan Hussain Jaan
Tu Kufr Pe Yalgaar, Tu Bar Sare Pekaar
Hussain Jaan Hussain Jaan

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!