Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
By Moulana Hassan Amdad
Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Nehang e kul Zamy Wafa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Khadang e Tarkash e Qaza Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Barang e Shah e Lafata Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Jari Daleer Bawafa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Wafa Bahad e Mojaza Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ye Zulfiqar e Haideri a.s ye Sher e Shah e Najaf
Ye Taigh Taigh e Hashmi Nishan e Jurrat o Salaf
HAr Ek Ka Markaz e Nazar Kafeel e Tishna Kaam Taf
Kinaray Nehr e Alqama Tamam Fouj ka Hadaf
Kisi Se Par Na Ruk Saka Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Bahaduraan e Saf Shikan Main Iss Jari key Tazkiray
Zarawaran e Taigh Zan Main Iss Jari key Tazkiray
Har Ek Wafa Ki Anjuman Main Iss Jari key Tazkiray
Rasool e ak Ke Chaman Main Iss Jari key Tazkiray
Gharoor e Aal e Mustafa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Hussain a.s ka Akhi bhi Hai Hussain a.s ka Ghulam Bhi
Hussain a.s ki Sipar Bhi Hai Tabbar bhi Hussam Bhi
Hussain a.s Ki Zirra Bhi hai Kaman Bhi Hai Sahaam Bhi
Hussain a.s Izn dain Agar To Shimmr l.a Say Kalam Bhi
Magar na Wo Kuja Kuja Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Hussain a.s Izn Dain Agar Abhi Ye Sab ko Daikh Lay
Abhi Iraq o Sham ko Abhi Halab ko Daikh Lay
Abhi Abhi Ye Koofiaan e Be Adab ko Daikh Lay
Muqabla Jo Aa Paray To Qul Arab Ko Daikh Lay
Misal e Shah e La Fata Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ishara e Imam a.s ho to Fatha Main Dhara Hai Kia
Shua e Meer ke Liye Ye Sham ki Ghatta hai Kia
Furaat Tak na Janay Day Kisi Main Hosla Hai Kia
Ali a.s ke Sher Ke Liye ye Jang Karbala Hai Kia
Ke Ulat Day Takht Sham ka Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Yazeed e Bad Nehad Say Sakoon e Zaat Chheen Lay
Muhafizan e Nehar se Haq e Hayaat Chheen Lay
Jo Marzi e Hussain a.s Ho Abhi Furaat Chheen Lay
Furat Kia Hai Ye Wo Hai Jo Kaainaat Chheen Lay
Bara Buland Hosla Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Magar yahan Tou Hukm hai Ke Bus Ali a.s ke Sher Bus
Hussain a.s Apni Zindagi Se Ho Chuka Hai Se’r Bus
Qareeb e Waqt e Asr Hai Bus Ab Mere Dilair Bus
Hamaray Kooch Main Kaheen Mazeed ho na Daer Bus
Karay Ga Ta Ba Karbala Ameer e Lashkar e Hussain a.s
Ee Zabr e Dasht e Nainawa Ameer e Lashkar e Hussain a.s