Khair Karay Lyrics
Khair Karay
Khuda Khair Karay
Us taraf zulm pey aamaada zamaanay waaley
Is taraf saaray Mohammad ke gharaaney waaley
Kaun kiska hai tarafdaar khuda khair karay
Karbala hogayi tayyar Khuda khair Karay
Ye qayamat ke hai aasar Khuda khair Karay
Karbala hogai tayyar Khuda khair Karay
Roz-e-Aashoor hawaao’n se barastaa hai lahoo
Lutgayi kiski ye Sardaar Khuda Khair Karay
Ye to Mumkin hi nahi hai ke jhukaaday sar ko
kya karay saahib-e-Kirdaar
Khuda khair Karay
Bhai jaatey Khuda Hafiz o Nasir Kehkar
Behney Kehti hai ye har baar Khuda khair Karay
Woh jo ghorhey se gira sath girey Mashk-e-Alam
Naa Alam hai na alamdar Khuda Khair Karay
Kitne Sadmey hain jo Sajjad ko sehne hai abhi
Beydiyaa’n Hoti hai tayyar Khuda Khair Karey
Ajj bhi seeno’n main zinda hai Husain ibn-e-Ali
Sara Aalam hai Azadar Khuda khair Karay
Aaney waaley yuhi Aatey rahey rozo’n pe sadaa
Kam na ho apke zawwar Khuda khair Karay
Sheh Ke matam mey hilal aisi fiza goonj uthi
Kyu ye Larza Dar-o-Dewar
Khuda khair Karay