Ads are placed to support costs of domain and hosting. All Ads are random and are not chosen by Nohay Lyrics: Sorry for any inappropriate ads.

Tera Zakir Kehlaon Mola

Tera Zakir Kehlaon Mola Lyrics | Naad E Ali 2023

Tera Zakir Kehlaon Mola

Tera Zakir Kehlaon Mola Lyrics

Ya Hussain x6

Abbas ki aka mairi Manzoor dua kar
Barsoun se jo dill main hai woh Hajat tu rawan kar
keh arman yahi bachpan se Ghum tera sunaoun Mola

Main Kuch kehloun tu
Tera Zakir Kehlaoun Mola x3

Mola apne roze ka deedar kara de
Ek bar mujhay bhi moula zawar bana de
Tere rozay pe jakar sabko x2 Noha main sunaoun Mola
Tera Zakir Kehlaoun Mola x4

Mola parcham ghazi ka jabhi main uthoun
Ghazi ke masaib pe main sir peet ta jaoun
Kissa hai wafa ka sab ko x2 roo roo sunaoun mola
Tera Zakir Kehlaon Mola x4

Mola teri woh beti jo qaid main roi
jo yaad tujhay kar kar ke zindan main soi
Ahle Aza ko Bibi ki x2 Gurbat pe rulaoun mola
Tera Zakir Kehlaon Mola x4

Mola woh Sajad tera woh Shaam ka Qaidi
40 baras khoon jiski ankhoun se tha jari
har dard sunanay uska x2 majlis main jaoun mola
Tera Zakir Kehlaon Mola x4

Mola mujhko maa ne mairi bas is liyay pala
Baba ki tarhan karta rahoun zikre Shah e Wala
Wirse main millay jo mujhko x2 woh farz nibhaoun mola
Tera Zakir Kehlaon Mola x4

Mola tere shair Haider se main ku na dua loun
Irfan E Aza ka Beta main Naad e Ali houn
Baba ki tarhan Majlis main x2 Matam karwaoun Mola
Tera Zakir Kehlaon Mola x4

Ya Ali (as) Madad
Noha Khuwan: Nad e Ali Rizvi
Poet: Haider Raza
Audio: LAWA Studio
Sangat: Munawar Ali Khan, Rajab Ali Khan, Ghulam Abbas & Amanat Ali
Video: TNA Production

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!