Shah Ast Hussain Lyrics | Farhan Ali Waris 2022

Shah Ast Hussain Lyrics

Hussain… Maula Hussain..Maula Hussain
Hussain… Maula Hussain..Maula Hussain

Ye mo’jiza jahaan ko dikha diya Hussain ne
Zameen ko hi Aasmañ bana diya Hussain ne
yazeed ka to naam kya nishan tak nahin raha
Use to aisa khaak mein mila diya Hussain ne.

Shaah Ast Hussain Baadshah Ast Hussain
Deeñ ast Hussain deenpanah ast Hussain
Sar daad na daad dast dar dast e yazeed
Haqqa ke binaye la ilaha ast Hussain.

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain

Deeñ ast Hussain deenpanah ast Hussain.

Guzri haseen zindagi is aan-baan se
Taudeed bolti rahi teri zabaan se
Bat’te hain jannatoñ ke ghar tere makan se
Sare arsh Tera lahraye Alam
Koi tujhsa nahi kaunain mein sultan Hussain.

Shah Ast Husain Badshah Ast Hussain
Deeñ ast Hussain deeñ-panah ast Hussain.
Sar daad na daad dast dar dast e yazeed
Haqqa ke binaye la ilaha ast Hussain.

Tevar haseen aur haseen andaz e guftgu
Aise Bane saje hue alfaz e ru ba ru
Jaise namazi baithe hon masjid me ba wazu
Lagta hai hameñ woh Tera bayañ
Jab padhte hain hum surah e Rahman Hussain

Shaah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deeñ ast Hussain deeñ-panah ast Hussain.
Sar daad na daad dast dar dast e yazeed
Haqqa ke binaye la ilaha ast Hussain.

Mawaliyoñ ko Shahinshah e mashrikain mile
Nabi o Fatima o Murtaza ka chain mile
Meri dua hai ke mehshar ke talkh lamhon mein
Tumhe yazeed mile aur hame Hussain mile.

Likha hua hai khoon se sare seena e hadeed
Karbala ke dasht mein hua marqa shadeed
Zinda mera Hussain hai maara gaya yazeed
Jo shaam o sahar hoti hai azaañ
Hota hai ye teri Jeet ka ailaan Hussain

Shaah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deeñ ast Hussain deenpanah ast Hussain.
Sar daad na daad dast dar dast e yazeed
Haqqa ke binaye la ilaha ast Hussain.

Kaata gale se teigh ka toone gala Hussain
Qayim hai do jahan pe tera dabdaba Hussain
Naara hai teri fauj ka “Labbaik Ya Hussain”
Har Ahl-e azaañ har momin ke
Yehi naara laboñ pe rahta hai har aan Hussain.

Shaah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deeñ ast Hussain deenpanah ast Hussain.
Sar daad na daad dast dar dast e yazeed
Haqqa ke binaye la ilaha ast Hussain.

Be-ghar Khuda Ke deen Ko Dekha To Ghar Diya
Nadiyon Se Jo Na Ho saka woh kam kar diya
Sajdoñ se toone khana e kaba ko bhar diya
Az roze Azal ta Roze abad
Hai saare jamanoñ per tera ehsan Hussain.

Shaah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deeñ ast Hussain deenpanah ast Hussain.
Sar daad na daad dast dar dast e yazeed
Haqqa ke binaye la ilaha ast Hussain.

Eemañ ki rooh ishq ka kaba Hussain Hai
Padta hai Jisko deen voh kalma Hussain Hai
Jisko Khuda Manaye voh Banda Hussain Hai
Is Baat se yah bhi sabit hai
Tujh per hai bahot Allah ko bhi maan Hussain

Shaah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deeñ ast Hussain deenpanah ast Hussain.
Sar daad na daad dast dar dast e yazeed
Haqqa ke binaye la ilaha ast Hussain.

Uski nigaah Mein Tera rutBa buland hai hai
Quran Aaj Bhi Tera Ehsanmand hai
Baatil ki uske Samne awaz band hai
Har majlis mein har mahfil mein
Bus Teri hi bateñ karta hai Quran, Hussain.

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deeñ ast Hussain deenpanah ast Hussain.
Sar daad na daad dast dar dast e yazeed
Haqqa ke binaye la ilaha ast Hussain.

Abbas bhi Hussain hai, Akbar bhi hai Hussain
Zehra Ka Laal noor ka paikar bhi hai Hussain
Kul kayenat e husn ka mahwar bhi hai Hussain
Tujh jaisa haseeñ koi bhi nahin
Hain tujh pe fida ‘Gauhar’ o ‘Farhan’ Hussain.

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deeñ ast Hussain deenpanah ast Hussain.
Sar daad na daad dast dar dast e yazeed
Haqqa ke binaye la ilaha ast Hussain.

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!