Dar Lagta Hai Lyrics
Ab na khanjar na kisi waar se dar lagta hai

Ek shabbir ke khuddar se dar lagta hai
Ek shabbir ke khuddar se dar lagta hai
Isliye qaid mein mukhtaar ko rakhta hai ziyad

saari duniya ko azadaar se dar lagta hai

Uski talwaar ko uthti to qayamat hoti
Uski talwaar ko uthti to qayamat hoti
jiski zanjeer ki jhankaar se dar lagta hai

Waqeya ye bhi hai tareekh ke daaman mein ajab

ek hakim ko giraftar se dar lagta hai
ek hakim ko giraftar se dar lagta hai
Qasim o akbar o abbas, hussain ibn e ali

dekho nau(9) laakh ko in chaar se dar lagta hai

Yaa to chup jaye nishan isliye lamba hai ghilaaf

yaa tumhe kaabe ki deewar se dar lagta hai

Mujhse darta hai zamana ye kaha marhab ne

aur mujhe Haider e qarrar se dar lagta hai

Boli zainab ke daro shaam ke hakim se tumhi

kyuki makkaro ko makkar se dar lagta hai

Isliye karbobala shaam se aaya na yazeed

usko abbas e alamdaar se dar lagta hai
usko abbas e alamdaar se dar lagta hai
Koi jhutha bhi yaha khata nahi jhuthi qasam

sabko abbas ke darbaar se dar lagta hai
sabko abbas ke darbaar se dar lagta hai
Aaj bhi dekh ke dar jaate hai ghazi ka alam

bewafao ko wafadaar se dar lagta hai
bewafao ko wafadaar se dar lagta hai
Hum sharar naqvi hai deewane abu talib ke

unko eemaa’n ke tarafdaar se dar lagta hai