Barzakh Ka Safar Lyrics | Farhan Ali Waris 2020

Barzakh Ka Safar Lyrics

Suno Suno
Suno Suno
Suno Suno
Suno Suno

Isma Ifham
Jab Aalam E Barzakh ko Momin Ka Safar hoga
Jab Aalam E Barzakh ko Momin Ka Safar hoga

Salawat Parhain Ap Ko Meraj Karwaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun

Salawat Parhain Ap Ko Meraj Karwaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun

Yeh Ale Muhammad Ki Ataoun main safar hai
Yeh Parcham e Abbas ki Chaoun main Safar hai
Yeh Binte payambar ki duaoun ka Safar hai
Jo Khuld main chalti hai hawaoun main safar hai
har morh pe sab sahibe Eman Milaingay
Bozar Kahain Qambar kahain Salman Milaingay

Salawat Parhain Ap Ko Meraj Karwaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun

Woh Jin ki Sada Naz Tu khud karta raha hai
din raat jinhain jhoom ke tu sunta raha hai
sun sun ke jinhain khob tu khush hota raha hai
Jo majlis e Shabeer main tu parhta raha hai
woh pak fazail tujhay youn raas hain ayay
Ab lainay tujhay khud Sakhi Abbas hain Ayay

Salawat Parhain Ap Ko Meraj Karwaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun

Le Jata hai Sarkar ki yeh deed ko rasta
Aur in ko fazail ki yeh tamheed ko rasta
ye dushman e Haider pe hai tanqeed ko rasta
Jata hai yahi wadiyay toheed ko rasta
Is rah pe youn Ale Muhammad ka karam hai
Is Raste main har chook pe Ghazi ka Alam hai

Salawat Parhain Ap Ko Meraj Karwaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun

Momen Main Tere naik muqadar pe houn naza
toqeer pe aur qalb e manor pe yon naza
tabanda darshan tere naear pe houn naza
tum jaisay muqadar ke sikandar pe houn naza
woh dekho zara samne anwar kharay hain
Darwazay pe khud Haider-e-Karar Kharay hain

Salawat Parhain Ap Ko Meraj Karwaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun
Main Aalam E Barzakh ka Safar Nama Sunaoun

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!