Main Hussain Hun Lyrics | Ali Shanawar 2013

Main Hussain Hun Lyrics

Haye Maola Maola Maola
Jab Lashkar E Hussain Sar E Khak So Gya
(hussain Ya Hussain Maola, Hussain Ya Hussain Maola)
Aur Fatima Ky Laal Ka Koi Nahi Raha
Hal Min Mugheesuna Ki Shah E Deen Ny Di Sada
Goonja Fiza Mein Akhri Khutba Hussain Ka

Hussain Ya Hussain Mola (6)

Main Nabi Ki Ankhon Ka Noor Hun
Main Hussain Hun Woh Hussain Hun
Main Ali Ky Dil Ka Suroor Hun
Main Hussain Hun Woh Hussain Hun
Meri Maan Hain Janab E Syeda
Mera Bhai Hasan Dil E Mustafa
Meri Hum Qadam Meri Do Bahan
Mera Bhai Ghazi Qaraar E Man

Main Hussain Hun Woh Hussain Hun (4)
Dil E Fatima Ka Main Chain Hun

Main Hussain Hun Woh Hussain Hun
Main Hussain Ya Hussain Maola, Hussain Ya Hussain Maola

Main Sawar Dosh E Rasool Hun
Main Hussain Jan E Batool Hun
Main Kalaam E Rab Ki Misaal Hun
Main Gharaana E Laazawaal Hun
Mujhy Naaz Apny Chaman Py Hai
Main Hun Paanchwan Rukne Panjtan

Main Hussain Hun Woh Hussain Hun (2)
Main Hussain Ya Hussain Maola, Hussain Ya Hussain Maola

Main Hussain Waaris E Deen Hun
Main Gumaan Nahi Main Yaqeen Hun
Mujhy Ishq Naam E Khuda Sy Hai
Meri Jang Ahl E Dagha Sy Hai
Meri Zindagi Mery Rab Ki Hai
Main Chala Hun Ghar Sy Liye Kafan

Main Hussain Hun Woh Hussain Hun (3)
Dil E Fatima Ka Main Chain Hun

Main Hussain Hun Woh Hussain Hun
Main Hussain Ya Hussain Maola, Hussain Ya Hussain Maola

Main Hazaar Sadmay Utha Chuka
Main Charagh Apny Bujha Chuka
Main Tamam Lashkar Ganwa Chuka
Main Zameen E Maqtal Saja Chuka
Lo Main Zuljanah Sy Gir Gaya
Na Hai Zeen Py Aur Na Zameen Py Tan

Main Hussain Hun Woh Hussain Hun (2)
Main Hussain Ya Hussain Maola, Hussain Ya Hussain Maola

Lo Main Nok E Naiza Py Aa Gaya
Main Kamaal E Maqsad Ko Paa Gaya
Tahe Taigh Sajda Ada Kiya
Main Utha To Paish E Khuda Gaya
Hai Sada E Hal Min Ka Mojza
Hai Jahan Mein Zinda Mera Sukhan

Main Hussain Hun Woh Hussain Hun (3)
Dil E Fatima Ka Main Chain Hun

Main Hussain Hun Woh Hussain Hun (2)
Main Hussain Ya Hussain Maola, Hussain Ya Hussain Maola

Main Hussain Jaan E Karbala
Hai Yahan Ki Matti Mein Bhi Shifa
Lo Rehan O Sarwar Karo Dua
Rahy Saya Sab Par Hussain Ka
Rahy Hashr Tak Yehi Silsila
Yehi Ek Sada Ho Zameen Zaman

Main Hussain Hun, Woh Hussain Hun (2)
Main Hussain Ya Hussain Maola, Hussain Ya Hussain Maola

Maola Maola Maola

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!