Jalta Darwaza
Jalta Darwaza gira aayi zahra ki sada Almadad ya fizza mera mohsin na raha Zalimo ne mere laal ko maar diya Almadad ya fizza mera mohsin na raha
Apni shahzadi ki imdad ko aao bibi Mere upar se ye Darwaza hatao bibi Aye meri bahen fizza imdad karo aakar Darwaza giraya h aada ne mere upar Almadad ya fizza- 2 Sansen rukti h meri dam labon par h mera Zakhmi haton se ye Darwaza sambhalu kaise Keel dar aayi h seene me nikalu kaise Aye meri…….. Darwaza……… Almadad……… Koi tadbeer karo dard h had se sewa Darde pahlu mujhe uthne nhi deta bahna Chha gaya hai meri aakhon me andhera bahna Aye meri…….. Darwaza…….. Almadad…….. Pasliyon ke tukde de rahe h iza Tum ne har haal me ki h meri nusrat fizza Mere hasnain na dekhen ye qayamat fizza Aye meri……… Darwaza……… Almadad…….. Dam nikal jayega mere shahzadon ka Badhti jati h tapish aag ki Aao jaldi Meri chadar me lagi aag bujhao jaldi Aye meri……… Darwaza……… Almadad……… Der ho jaye na badh raha h shola Bulhasan ka bhi abhi sath nibhana h mujhe Apne wali ko layinon se bachana h mujhe Aye meri……… Darwaza……… Almadad……… Bibi jaldi de do mujhko la karke asa Mere dil se na juda hoga ye mohsin ka gham Hashr tak karti rahungi mai ye kahkar matam Aye meri………. Darwaza………. Almadad………. Mere bachhe ne qadam daher me na rakha Royi besakhta sar peet ke fizza waiz Jab padha fatima zahra ne ye noha waiz Aye meri………. Darwaza………. Almadad………. Meri aagosh ka haq maut ne chheen liya Almadad ya fizza mera mohsin na raha