Khule Gaye Bandhe Kafan Zehra Pukari’n Ya Hussain

Khule Gaye Bandhe Kafan Zehra Pukari’n Ya Hussain



Noha Khwan Sonu Monu

Poetry by – Madad AliJohn
Shahadat Hazrat Fatima Zahra sa 
Ayyam-e-Fatimiyah 2020

Syeda sa , Tahira sa, Razia sa, Marzia sa Syeda sa, Tahira sa, Razia sa, Marzia sa Aey Madar e Hussain , Aey Madar e Hussain Aey Madar e Hussain , Aey Madar e Hussain

Khule Gaye Bandhe Kafan Zehra Pukari’n Ya Hussain

Aa Bulati Hai Tujhay Aa Bulati Hai Tujhay Maa A Galay Lag Ja Hussain Zulm Yun Mujhpar Na Hotay To Mujhay Umeed Thi Daikhti Main Bhi Tairay Sar Par Saja Sehra Hussain Main Kafan Main Hun Magar Jati Hun Yeh Armaan Liye Bai Kafan Reh Jaye Na Ban Main Tera Lasha Hussain Tab Say Zainab Ki Rida Ki Fikr Rehti Hai Mujhy Daikha Jab Say Mainay Ghar Ka Jalta Darwaza Hussain

Khul Gaye Bandhe Kafan Zehra Pukari’n Ya Hussain

Ghasib e Haq Fidaq Nay Ek Sitam Yeh Bhi Kiya Us Dukhi Maa Say Tumhara Sath Bhi Cheena Hussain Jaam Pani Ka Hamesha Sath Rakh Kar Soyi Hun Daikh Zainab Reh Na Jaye Raat Ko Piyasa Hussain John Ab Mazloom Baitay Ki Dukhi Maa Har Jagah Har Saf e Matam Pay Daiti Hai Sadaye Hussain Khul Gaye Bandhe Kafan Zehra Pukari’n Ya Hussain

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!