Bhaiya Abbas Tere Ghum Main Qamar Tut Gai Lyrics
Noha Khwan: Danish Meeruthi
khun me tar jism hai abbas ka saahil pe paraa
aankh me tir hai kaise ho ziyaarat maula
kat chuke haath hain baazu se kare kaise salaam
thaam kar tuti kamar bhaayi se bole ye imaam
ro ke bole shahe abraar
ho gaya qatl alamdaar
kamar tut gayi
bhaayi abbas tere gham me kamar tut gayi
saaniye haidare karraar tha mera bhaayi
ek faulaad ki diwaar tha mera bhaayi
gir gayi ghar ki wo diwaar
ho gaya qatl alamdaar
kamar tut gayi
haaye bechainiyaan barhti hain sukun saara gaya
dun sakina ko khabar kaise chacha maara gaya
chal gayi qalb pe talwaar
ho gaya qatl alamdaar
kamar tut gayi
qatl saqqa khaimon me na aaya paani
ek qatra bhi sakina ne na paaya paani
ho gayi tiron ki bochaar
ho gaya qatl alamdaar
kamar tut gayi
laash akbar ki uthaana bhi abhi baaqi hai
qabr asghar ki banaana bhi abhi baaqi hai
al madad haidare karraar
ho gaya qatl alamdaar
kamar tut gayi
jab giraa ret pe sehra me tapesh barhti thi
har qadam par mere zakhmon ki khalesh barhti thi
koyi munis na madadgaar
ho gaya qatl alamdaar
kamar tut gayi
boj hai bhaayi ka sadma ye mere seene par
khaak hi khaak hai ab khaak is jeene par
ho gayi zindagi bekaar
ho gaya qatl alamdaar
kamar tut gayi
bhaayi maara gaya zainab ko bataawun kaise
leke mein khaali alam khaimone me kaise
do qadam chalna hai dushwaar
ho gaya qatl alamdaar
kamar tut gayi
shadman [……] jab gardishe gham aati thi
ran me be baazuwon ki laash tarap jaati thi
kehte the jab shahe abraar
ho gaya qatl alamdaar
kamar tut gayi