Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha Lyrics in English
Aaye Jis Waqt Aseeron Mein Woh Tadfeen Ke Baad.
Ro Ke Kartay They Yehi Abid-e-Muztar Faryad.
Aisi Halat Mein Tha Lasha Abbas Ka Main Uthata Raha Woh Bikharta Raha.
Dadi Zahra Ki Pamal Thi Youn Dua Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha.
Main Ne Chaha Keh Maiyyat Woh Yakja Rahe Apne Hathoon Se Bazu Chacha Ke Chunay.
Pathron Se Laeeno Ne Mara Unhein Tukray Tukray Mujhe Bazu Unn Ke Miley.
Koi Bazu Bhi Unn Ka Salamat Na Tha Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha.
Chaar So Lash Youn Unn Ki Mujh Ko Mili Jaisay Maiyyat Thi Qasim Ki Bikhri Hoi.
Baba Jaan Ne Abba Mein Ossay Chun Liya Yeh Bhi Mumkin Na Tha Haye Ghurbat Meri.
Aik Qaidi Tha Main Kaisay Lata Abba Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha.
Apni Halat Karon Kis Tarha Se Biyaan Aik Manzar Pe Meri Bandhin Hichkiyaan.
Pehloon Par Youn Naizon Ke Kuch Waar They Yaad Dadi Ki Aane Lagin Pasliyaan.
Youn Shikasta Tha Lasha Sanbhalta Na Tha Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha.
Daein Janib Se Maiyyat Uthai Agar Baein Janib Kiya Hadiyon Ne Safar.
Lash Pamal Lashkar Ne Iss Tarha Ki Shair Ki Tukray Tukray Hoi Thi Kamar.
Mere Kandhoon Pe Lasha Thehar Na Saka Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha.
Ran Mein Lartay Hoye Zeen Se Jab Gira Sar Juda Tan Juda Dono Bazu Juda.
Mera Batees Barson Ka Kariyal Chacha Che Maheeney Ke Asghar Ke Jitna Bacha.
Oss Pe Ghoron Ne Pamal Aisay Kiya Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha.
Teer Se Jis Ghari Ran Mein Pani Baha Aisa Lagta Tha Ghazi Ko Aayi Qaza.
Misal-e-Ghazi Tha Mashkeza Abbas Ka Na Woh Khaimay Gaya Na Yeh Khaimay Gaya.
Bawafa Ka Tha Mashkeza Bhi Bawafa Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha.
Qafila Laut Kar Jab Madine Gaya Aa Ke :AKBAR: Yeh Umm Ul-Baneen Ne Kaha.
Mera Abbas Maqtal Mein Kaisay Lara Beta Sajjad Kya Haal Lashay Ka Tha.
Maa Se Sajjad Ro Kar Yeh Kehne Laga Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha.
Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha in Urdu
آئے جس وقت اسیروں میں وہ تدفین کے بعد
رو کے کرتے تھے یہی عابدِؑ مضطر فریاد
ایسی حالت میں تھا لاشہ عباس کا
میں اٹھاتا رہا وہ بکھرتا رہا
دادی زہرا کی پامال تھی یوں دعا
میں اٹھاتا رہا وہ بکھرتا رہا
میں نے چاہا کہ میت وہ یکجا رہے
اپنے ہاتھوں سے بازو چچا کے چنے
پتھروں سے لعینوں نے مارا انھیں
ٹکڑے ٹکڑے مجھے بازو ان کے ملے
ایک بازو بھی ان کا سلامت نہ تھا
چار سو لاش یوں ان کی مجھکو ملی
جیسے میت تھی قاسمؑ کی بکھری ہوئی
بابا جاں نے عبا میں اسے چن لیا
یہ بھی ممکن نہ تھا ہائے غربت مری
ایک قیدی تھا میں کیسے لاتا عبا
اپنی حالت کروں کس طرح سے بیاں
ایک منظر پہ میری بندھیں ھچکیاں
پہلووں پر یوں نیزوں کے کچھ وار تھے
یاد دادی کی آنے لگیں پسلیاں
یوں شکستہ تھا لاشہ سنبھلتا نہ تھا
دائیں جانب سے میت اٹھائی اگر
بائیں جانب کیا ہڈیوں نے سفر
لاش پامال لشکر نے اس طرح کی
شیر کی ٹکڑے ٹکڑے ہوئی تھی کمر
میرے کاندھوں پہ لاشہ ٹہر نہ سکا
رن میں لڑتے ہوئے زین سے جب گرا
سر جدا تن جدا دونوں بازو جدا
میرا بتیس برسوں کا کڑیل چچا
چھ مہینوں کے اصغرؑ کے جتنا بچا
اس پہ گھوڑوں نے پامال ایسے کیا
تیر سے جس گھڑی رن میں پانی بہا
ایسا لگتا تھا غازیؑ کی آئی قضا
مثلِ غازیؑ تھا مشکیزہ عباسؑ کا
نہ وہ خیمے گیا نہ یہ خیمے گیا
باوفا کا تھا مشکیزہ بھی باوفا
قافلہ لوٹ کر جب مدینے گیا
آ کے اکبرؔ یہ ام البنیںؑ نے کہا
میرا عباسؑ مقتل میں کیسے لڑا
بیٹا سجادؑ کیا حال لاشے کا تھا
رو کے سجادؑ بس یہ ہی کہتا رہا
شکرِ جانِب زہرا الحمد حسین