Ay Dashte Karbala – Salam

Reciter: Ashraf Abbas


kya saqt majera hai kahani hussain ki
bewaqt kya miti hai nishani hussain ki
akbar ka tha shabab jawani hussain ki
akbar jawan thay jee se guzarne ke dina thay
ay dashte karbala abhi marne ke dina thay

ye deen se lagao ye dunya se be-dili
barchi wegha may aake kaleje se jab lagi
kya aan baan thi ke falak tak nahi hili
akbar jawan thay…
ay dashte karbala…

kya teen din ki pyas may tewar dikha gaye
dunya ke naujawano ki himmat badha gaye
phoolon may pal sinano may aagye
akbar jawan thay…
ay dashte karbala…

dekhiye maut aalame imkaan e kis tarha
ye daagh uthaliya shehe zeeshan ne kis tarha
dulha banake bhej diya maa ne kis tarha
akbar jawan thay…
ay dashte karbala…

ruqsat ke waqt bano e shabbir chup rahi
behne ghareeb soorate tasveer chup rahi
sab ek samt zainab e dilgeer chup rahi
akbar jawan thay…
ay dashte karbala…

maana ke sabr o shukr ka dil may wo phoor tha
bache ka gham na ho ye mohabbat se door tha
maadar ko inke byah ka armaan zaroor tha
akbar jawan thay…
ay dashte karbala…

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!