Reciter: Ashraf Abbas
ashoor ka suraj kehdega
khamosh kinara kehdega
jo baat ke asghar keh na sake
behta hua darya kehdega
kis tarha jawani khaak hui
laila ka kaelja kehdega
behte hue aansoo kehdenge
utra hua chehra kehdega
ahmed ki nawasi ka aalam
uth-ta hua parda kehdega
kis tarha chini sar se chadar
jalta hua qaima kehdega
kis tarha gaye asghar ran may
abaad hui kyonkar turbat
bano ki udasi kehdegi
ujda hua jhoola kehdega
akbar ki ajal aayi pehle
ya barchi ka phal nikla pehle
shabbir ki kismat kehdegi
akbar ka kaleja kehdega
ummat ke liye asghar aaye
pani na mila pyase hi gaye
chup hogi agar nanhi si lehad
ujda hua jhoola kehdega
nawak ki khatak dil ki himmat
ummat pe nazar baba ka khayal
kya raaze khuda samjhe asghar
hasta hua chehra kehdega
har gaam pe thokar kha kha kar
jab baap pisar ko dhoondega
kis samt hai akbar ki mayyat
uljha hua rasta kehdega
mashkeeza chida pani to baha
mayyat na hati turbat hi bani
darya ki tarayi kiski hai
abbas ka rauza kehdega
shadi se gharaz shadi kab thi
ye dars e alam tha dunya ko
kuch dayr ka dulha kehdega
ujda hua sehra kehdega
jo baat ke asghar keh na….
ashoor ka suraj kehdega….