Ab Sakina Ma Dam Kahan – Salam

Shayar: Hilmi
Reciter: Alamdar Saahil


ab sakina may dam kahan amma
ab to khulwao reesma amma

kam ye zindan nahi hai turbat se
maut behtar hai aisi dehshat se
dam ghuta ja raha hai wehshat se
shamma bhi to nahi hai kismat se
kaisa tareek hai makan amma

kaan zakhmi kiye liye lo lo
aur phir is pa hukm hai ke na ro
ye ghazab bhi ajeeb hai dekho
mai jo roti hoo apne baba ko
shimr deta hai ghurkiya amma

log dete hai kya yuhin pursa
dono ruqsaar mere dekhiyega
dega kitni yateem ko eeza
poochiye shimr se baraye khuda
kitne kha’oon mai seliyan amma

kisme haalat hai maar khane ki
koi surat karo bachane ki
kya mai khaabil hoo taaziyane ki
shimr ki phir khabr hai aane ki
ruk rahi hai meri zuban amma

kis khadar hai ye shaki ke dil may tad
maarta hai jo dam ba dam murtad
ho chuki ho chuki sitam ki had
mere marne ke baad hi shayad
shimr kholega reesma amma

wa hussaina ka haye wo naala
haye sone mujhe nahi deta
qaid khane ke paas hi hai goya
suboh tak naam leke baba ka
aake roti hai dadi jaan amma

chaahne wale hi na ho jiske
qaid khane may kyun na wo roye
wo juda humse hum juda unse
karbala me hai karbala wale
kya kare reh ke hum yahan amma

baba lejane aagaye lejiye
mujhko ab khibla roo litadije
itni takleef aur bhi kijiye
padne yaseen unse kehdije
ghash se utthe jo bhai-jaan amma

li jo bachi ne maut ki hichki
ya ali kehke ghash huwi maa bhi
aake sab jama hogaye qaidi
kehke nadaan ye margayi hilmi
ab to khulwao reesma amma

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!